Sufinama

iram hai KHuld hai ya karbala hai

Haji Waris Ali Shah

iram hai KHuld hai ya karbala hai

Haji Waris Ali Shah

MORE BYHaji Waris Ali Shah

    Interesting Fact

    منقبت درشان شہیدانِ کربلا۔

    iram hai ḳhuld hai karbalā hai

    zuhūr-e-qudrat-e-rabbul-ulā hai

    muqīm us koī gulgūñ qabā hai

    ki jis par dil mirā yā-rab fidā hai

    sabā laatī hai bhar-bhar ke dāmāñ

    ilāhī kaun gul us khilā hai

    huā pur-nūr jis se sharq-tā-ġharb

    vo kaisā āftāb-e-pur-ziyā hai

    malā.ek haiñ jahāñ darbān-o-kHādim

    ḳhudā jaane vahāñ asrār kyā hai

    niyāz us ko bhalā kab ho kisī se

    ḳharīdār us ke nāzoñ ḳhudā hai

    kiyā mal.ūn ne shah par chaḌhā.ī

    falak ko aaj tak ranj-o'anā hai

    jigar ḳhūnī hue roz-e-shahādat

    gavāh us ramz barg-e-hinā hai

    huī jis dam shahādat māriyā meñ

    tabhī se nām-zad karb-o-balā hai

    Thahartā nahīñ 'vāris' kisī

    kisī justujū meñ phir rahā hai

    iram hai KHuld hai ya karbala hai

    zuhur-e-qudrat-e-rabbul-ula hai

    muqim us ja koi gulgun qaba hai

    ki jis par dil mera ya-rab fida hai

    saba lati hai bu bhar-bhar ke daman

    ilahi kaun gul us ja khila hai

    hua pur-nur jis se sharq-ta-gharb

    wo kaisa aaftab-e-pur-ziya hai

    malaek hain jahan darban-o-kHadim

    KHuda jaane wahan asrar kya hai

    niyaz us ko bhala kab ho kisi se

    KHaridar us ke nazon ka KHuda hai

    kiya malun ne shah par chaDhai

    falak ko aaj tak ranj-o'ana hai

    jigar KHuni hue roz-e-shahadat

    gawah us ramz ki barg-e-hina hai

    hui jis dam shahadat mariya mein

    tabhi se nam-zad karb-o-bala hai

    Thaharta hi nahin 'waris' kisi ja

    kisi ki justuju mein phir raha hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now