Sufinama

haal mein apne mast hun ghair ka hosh hi nahin

Khwaja Azizul Hasan Majzoob

haal mein apne mast hun ghair ka hosh hi nahin

Khwaja Azizul Hasan Majzoob

MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob

    haal meñ apne mast huuñ ġhair hosh nahīñ

    rahtā huuñ maiñ jahāñ meñ yuuñ jaise yañh koī nahīñ

    koī mazā mazā nahīñ koī hañsī hañsī nahīñ

    tere baġhair zindagī maut hai zindagī nahīñ

    is dil-e-zār se mafar 'ishq meñ jiite nahīñ

    ronā hai mujh ko 'umr-bhar ġham mirā ’ārzī nahīñ

    pīr-e-muġhāñ dam kahāñ us vo bazm-e-jam kahāñ

    baada nahīñ to ham kahāñ ziist ye ziist nahīñ

    jaa.eñ ba-chashm-e-nam kahāñ ro.eñ ab apnā ġham kahāñ

    pahle se ab karam kahāñ aisā to ab koī nahīñ

    hijr shab 'ajab hai shab-e-hāl ye kyā hai lil'ajab

    taare haiñ raushnī nahīñ chāñd hai chāñdnī nahīñ

    shīsha hai jaam hai na ḳhum asal to raunaqeñ haiñ gum

    laakh sajā rahe ho tum bazm abhī sajī nahīñ

    kitnā baḌā sahī ye bhī hai zāhid āgahī

    samjhe jo ḳhud ko muntahī vo abhī mubtadī nahīñ

    husn bārgāh hai sahal koī nibāh hai

    aah bhī ik gunāh hai 'ishq bhī dil-lagī nahīñ

    baiThā huuñ maiñ jhukā.e sar nīchī kiye hue nazar

    bazm meñ sab sahī magar vo jo nahīñ koī nahīñ

    un mohabbat-e-āh meñ shauq-bharī nigāh meñ

    ya.anī abhī hai raah meñ dil meñ abhī basī nahīñ

    ai mire bāġh-e-ārzū kaisā hai bāġh-hā-e-tū

    kaliyāñ to go haiñ chaar koī kalī khilī nahīñ

    dil meñ lagā ke un lau kar de jahāñ meñ nashr-e-zau

    sham.eñ to jal rahī haiñ sau bazm meñ raushnī nahīñ

    haal mein apne mast hun ghair ka hosh hi nahin

    rahta hun main jahan mein yun jaise yanh koi nahin

    koi maza maza nahin koi hansi hansi nahin

    tere baghair zindagi maut hai zindagi nahin

    is dil-e-zar se mafar 'ishq mein jite ji nahin

    rona hai mujh ko 'umr-bhar gham mera ’arzi nahin

    pir-e-mughan ka dam kahan us ki wo bazm-e-jam kahan

    baada nahin to hum kahan zist ye zist hi nahin

    jaen ba-chashm-e-nam kahan roen ab apna gham kahan

    pahle se ab karam kahan aisa to ab koi nahin

    hijr ki shab 'ajab hai shab-e-haal ye kya hai lil'ajab

    tare hain raushni nahin chand hai chandni nahin

    shisha hai jam hai na KHum asal to raunaqen hain gum

    lakh saja rahe ho tum bazm abhi saji nahin

    kitna hi tu baDa sahi ye bhi hai zahid aagahi

    samjhe jo KHud ko muntahi wo abhi mubtadi nahin

    husn ki bargah hai sahal koi nibah hai

    aah bhi ek gunah hai 'ishq bhi dil-lagi nahin

    baiTha hun main jhukae sar nichi kiye hue nazar

    bazm mein sab sahi magar wo jo nahin koi nahin

    un ki mohabbat-e-ah mein shauq-bhari nigah mein

    yani abhi hai rah mein dil mein abhi basi nahin

    ai mere bagh-e-arzu kaisa hai bagh-ha-e-tu

    kaliyan to go hain chaar su koi kali khili nahin

    dil mein laga ke un ki lau kar de jahan mein nashr-e-zau

    shamen to jal rahi hain sau bazm mein raushni nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now