Sufinama

ban kar main kabhi musa sar-e-tur ja raha hun

Zuhoorullah Iftekhari Mujeebi

ban kar main kabhi musa sar-e-tur ja raha hun

Zuhoorullah Iftekhari Mujeebi

MORE BYZuhoorullah Iftekhari Mujeebi

    ban kar maiñ kabhī muusā sar-e-tūr rahā huuñ

    iisā maiñ kabhī ban kar marde jilā rahā huuñ

    vahdāniyat pe merī ab to yaqīñ kar lo

    har shakl meñ maiñ apnā jalva dikhā rahā huuñ

    raushan ka.e haiñ jis ne jazbāt haqq-e-ta'ala

    vo sham-e-haqīqat maiñ dil meñ jalā rahā huuñ

    jin ko ba-juz hamāre koī nahīñ hai suntā

    tauhīd ke vo naġhme har vaqt rahā huuñ

    apnī ḳhabar meñ gum huuñ itnī ḳhabar kahāñ hai

    kis samt se huuñ aayā kis samt rahā huuñ

    ḳhud huuñ maiñ jām-o-mīnā ḳhud sharāb-e-vahdat

    ḳhud maiñ rahā huuñ ḳhud pilā rahā huuñ

    jis meñ ba-juz hamāre na ho ġhair samā.ī

    apnā mai-ḳhāna-e-dil aisā banā rahā huuñ

    donoñ jahāñ banā kar koī farq hai na aayā

    vaisā huuñ maiñ jaisā pahle ḳhudā rahā huuñ

    maiñ 'zuhūr' huuñ na zāhir banda huuñ maiñ na maulā

    apne vajūd ko bas maiñ ḳhayāl rahā huuñ

    ban kar main kabhi musa sar-e-tur ja raha hun

    isa main kabhi ban kar marde jila raha hun

    wahdaniyat pe meri ab to yaqin kar lo

    har shakl mein main apna jalwa dikha raha hun

    raushan kae hain jis ne jazbaat haqq-e-ta'ala

    wo sham-e-haqiqat main dil mein jala raha hun

    jin ko ba-juz hamare koi nahin hai sunta

    tauhid ke wo naghme har waqt ga raha hun

    apni KHabar mein gum hun itni KHabar kahan hai

    kis samt se hun aaya kis samt ja raha hun

    KHud hun main jam-o-mina KHud hi sharab-e-wahdat

    KHud hi main pi raha hun KHud hi pila raha hun

    jis mein ba-juz hamare na ho ghair ki samai

    apna mai-KHana-e-dil aisa bana raha hun

    donon jahan bana kar koi farq hai na aaya

    waisa hi hun main jaisa pahle KHuda raha hun

    main 'zuhur' hun na zahir banda hun main na maula

    apne wajud ko bas main KHayal pa raha hun

    Source :
    • Book : Sharh-e-Haqeeqat, Kalaam-e-Zuhur
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now