Sufinama

na shauq-e-wasl ka mauqa na zauq-e-ashnai ka

Ameer Minai

na shauq-e-wasl ka mauqa na zauq-e-ashnai ka

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    na shauq-e-vasl mauqa na zauq-e-āshnā.ī

    maiñ ik nāchīz banda aur use da.ava ḳhudā.ī

    paḌā sad shukr jo daaġh apne siine meñ judā.ī

    sitāra ban gayā āḳhir vo sub.h-e-āshnā.ī

    darāzī dhyān meñ aatī hai kab roz-e-qiyāmat

    ki ik paivand hai pairāhan roz-e-judā.ī

    bane jo mauj apne bahr-e-ḳhūñ meñ halqa ai qātil

    ilāhī ho vo chhallā terī añgusht-e-hinā.ī

    naved-e-vasl āshiq ke liye hai sadma-e-furqat

    ubharnā baiTh jaanā hai muhīt-e-āshnā.ī

    jalātā kyuuñ hai ai dil mujh ko shauq-e-vasl bhaḌkā kar

    are is aag se phūñk de parda judā.ī

    ilāhī kaun se mujrim aamad hai qiyāmat meñ

    huā hai hukm ke ko ye kis peshvā.ī

    hadaf dil ko banāte haiñ jo kuchh kahiye to kahte haiñ

    sikhāte haiñ chalan tīroñ ko apne dilrubā.ī

    pahuñch kar yaar tak be-ḳhud hue pahuñche na matlab ko

    rasā.ī ne diyā kyā daaġh ham ko nā-rasā.ī

    qadam terā jahñ paḌtā hai mehñdī aatī hai

    tire naqsh-e-qadam meñ rañg hai pā-e-hinā.ī

    shab-e-vaslat nazākat un shauq-e-vasl se bolī

    taras khā mujh pe zālim vaqt hai be-dast-o-pā.ī

    vafā manzūr us ko bhī nahīñ hai us furqat meñ

    sabaq paḌhne chalī hai umr us se bevafā.ī

    tumhīñ tum ā.īna-ḳhāne meñ ho chāroñ taraf dekho

    kaho ab bhī kuchh armān niklā ḳhud-numā.ī

    palaT kar saikḌoñ kaalī balā.eñ bose letī haiñ

    inhīñ bātoñ se muñh kaalā hai shabhā-e-judā.ī

    sar us ke paañv par rakhiye banā.e haiñ ye but jis ne

    maza hai ḳhaak patthar paa.e but par jab.ha-sā.ī

    bahut bhar gayā hai umr paimāna ab chhalkā

    charāġh ik jhilmilātā hai bazm-e-āshnā.ī

    qafas meñ huuñ magar saarā chaman āñkhoñ ke aage hai

    rihā.ī ke barābar ab tasavvur se rihā.ī

    nahīñ mumkin hai sonā hijr meñ niiñd aa nahīñ saktī

    tilā ye phir rahā hai aañkh meñ tauq-e-tilā.ī

    amīr-e-kHasta-jāñ aafat meñ hai haidar-e-safdar

    kaaro imdād is vaqt hai mushkil-kushā.ī

    na shauq-e-wasl ka mauqa na zauq-e-ashnai ka

    main ek nachiz banda aur use dawa KHudai ka

    paDa sad shukr jo dagh apne sine mein judai ka

    sitara ban gaya aaKHir wo subh-e-ashnai ka

    daraazi dhyan mein aati hai kab roz-e-qiyamat ki

    ki ek paiwand hai pairahan roz-e-judai ka

    bane jo mauj apne bahr-e-KHun mein halqa ai qatil

    ilahi ho wo chhalla teri angusht-e-hinai ka

    nawed-e-wasl aashiq ke liye hai sadma-e-furqat

    ubharna baiTh jaana hai muhit-e-ashnai ka

    jalata kyun hai ai dil mujh ko shauq-e-wasl bhaDka kar

    are is aag se tu phunk de parda judai ka

    ilahi kaun se mujrim ki aamad hai qiyamat mein

    hua hai hukm ke ko ye kis ki peshwai ka

    hadaf dil ko banate hain jo kuchh kahiye to kahte hain

    sikhate hain chalan tiron ko apne dilrubai ka

    pahunch kar yar tak be-KHud hue pahunche na matlab ko

    rasai ne diya kya dagh hum ko na-rasai ka

    qadam tera jahn paDta hai bu mehndi ki aati hai

    tere naqsh-e-qadam mein rang hai pa-e-hinai ka

    shab-e-waslat nazakat un ki shauq-e-wasl se boli

    taras kha mujh pe zalim waqt hai be-dast-o-pai ka

    wafa manzur us ko bhi nahin hai us ki furqat mein

    sabaq paDhne chali hai umr us se bewafai ka

    tumhin tum aaina-KHane mein ho chaaron taraf dekho

    kaho ji ab bhi kuchh arman nikla KHud-numai ka

    palaT kar saikDon kali balaen bose leti hain

    inhin baaton se munh kala hai shabha-e-judai ka

    sar us ke panw par rakhiye banae hain ye but jis ne

    maza hai KHak patthar pae but par jabha-sai ka

    bahut hi bhar gaya hai umr ka paimana ab chhalka

    charagh ek jhilmilata sa hai bazm-e-ashnai ka

    qafas mein hun magar sara chaman aankhon ke aage hai

    rihai ke barabar ab tasawwur se rihai ka

    nahin mumkin hai sona hijr mein nind aa nahin sakti

    tila ye phir raha hai aankh mein tauq-e-tilai ka

    amir-e-kHasta-jaan aafat mein hai ya haidar-e-safdar

    karo imdad is ki waqt hai mushkil-kushai ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now