Sufinama

nok-e-miza-e-yaar hai nashtar ke barabar

Shah Turab Ali Qalandar

nok-e-miza-e-yaar hai nashtar ke barabar

Shah Turab Ali Qalandar

MORE BYShah Turab Ali Qalandar

    nok-e-miza-e-yāar hai nashtar ke barābar

    ḳhūñ-rezī meñ abrū bhī hai ḳhanjar ke barābar

    har-chand gulistāñ meñ gul-andām bahut haiñ

    ḳhush-qad nahīñ koī sarv-o-sanobar ke barābar

    kyā aab hai kyā taab hai ai jauharī aa dekh

    aañsū haiñ mire la.al-o-gauhar ke barābar

    mar mar ga.e ushshāq kisī se na huā narm

    ḳhūboñ dil saḳht hai patthar ke barābar

    dil is meñ jo phañs jaa.e to jiite na chhūTe haa.e

    koī jaal nahīñ zulf-e-mo.ambar ke barābar

    ushshāq galī meñ tirī kyuuñ ḳhaak na chhāne

    hai ḳhaak tire dar unheñ zar ke barābar

    kyā shor-e-qayāmat ho ajab fitna ho barpā

    jab yaar khaḌā ho mire bistar ke barābar

    vo sāhib-e-laulāk hai aur ḳhatm-e-risālat

    hargiz nahīñ koī mire payambar ke barābar

    āzād mashā.iḳh meñ 'turāb' ek na dekhā

    koī ahl-e-malāmat ho qalandar ke barābar

    nok-e-miza-e-yaar hai nashtar ke barabar

    KHun-rezi mein abru bhi hai KHanjar ke barabar

    har-chand gulistan mein gul-andam bahut hain

    KHush-qad nahin koi sarw-o-sanobar ke barabar

    kya aab hai kya tab hai ai jauhari aa dekh

    aansu hain mere lal-o-gauhar ke barabar

    mar mar gae ushshaq kisi se na hua narm

    KHubon ka dil saKHt hai patthar ke barabar

    dil is mein jo phans jae to jite na chhuTe hae

    koi jal nahin zulf-e-moambar ke barabar

    ushshaq gali mein teri kyun KHak na chhane

    hai KHak tere dar ki unhen zar ke barabar

    kya shor-e-qayamat ho ajab fitna ho barpa

    jab yar khaDa ho mere bistar ke barabar

    wo sahib-e-laulak hai aur KHatm-e-risalat

    hargiz nahin koi mere payambar ke barabar

    aazad mashaiKH mein 'turab' ek na dekha

    koi ahl-e-malamat ho qalandar ke barabar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now