Sufinama

haal par mere karam ai mere maula kar de

Rajab Ali Qadri

haal par mere karam ai mere maula kar de

Rajab Ali Qadri

MORE BYRajab Ali Qadri

    haal par mere karam ai mire maulā kar de

    yaad se apnī raushan mirā siina kar de

    raat din maiñ tire mahbūb jalva dekhūñ

    ḳhudā mujhe nazdīk-e-madīna kar de

    merā har lamha har ek saañs 'ibādat meñ kaTe

    mere allāh mujhe aisā banda kar de

    karbalā vaale shahīdoñ banūñ maiñ ġhulām

    dil meñ vo shauq-e-shahādat mere paidā kar de

    mar miTūñ ’izzat-o-tauqīr-e-risālat ke liye

    mere is 'azm sāmān muhayyā kar de

    ahl-e-bait-e-nabavī maiñ rahūñ sā.l-e-dar

    aur is dil ko fidā-kār-e-sahāba kar de

    ye gunahgār 'rajab' hai tirā mohtāj-e-karam

    lutf us par ba-tufail-e-bat.hā kar de

    haal par mere karam ai mere maula kar de

    yaad se apni tu raushan mera sina kar de

    raat din main tere mahbub ka jalwa dekhun

    ya KHuda tu mujhe nazdik-e-madina kar de

    mera har lamha har ek sans 'ibaadat mein kaTe

    mere allah mujhe aisa tu banda kar de

    karbala wale shahidon ka banun main ghulam

    dil mein wo shauq-e-shahadat mere paida kar de

    mar miTun ’izzat-o-tauqir-e-risalat ke liye

    mere is 'azm ka saman muhayya kar de

    ahl-e-bait-e-nabawi ka main rahun sal-e-dar

    aur is dil ko fida-kar-e-sahaba kar de

    ye gunahgar 'rajab' hai tera mohtaj-e-karam

    lutf us par ba-tufail-e-batha kar de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now