sazgar apna zamana ho gaya
sāzgār apnā zamāna ho gayā
hind se taiba ko jaanā ho gayā
dafn yasrib meñ huā lāsha mirā
ab musāfir kā Thikānā ho gayā
but-parastī ab kañh baaqī rahī
us ko chhoḌe ik zamāna ho gayā
kufr chhoḌā pī ke mai tauhīd kī
rañg-e-shādāb 'āshiqāna ho gayā
sazgar apna zamana ho gaya
hind se taiba ko jaana ho gaya
dafn yasrib mein hua lasha mera
ab musafir ka Thikana ho gaya
but-parasti ab kanh baqi rahi
us ko chhoDe ek zamana ho gaya
kufr chhoDa pi ke mai tauhid ki
rang-e-shadab 'ashiqana ho gaya
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 125)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.