Sufinama

zulm hota hai jafaon pe jafa hoti hai

Shah Mohsin Danapuri

zulm hota hai jafaon pe jafa hoti hai

Shah Mohsin Danapuri

MORE BYShah Mohsin Danapuri

    zulm hotā hai jafāon pe jafā hotī hai

    yuuñ adā rasm mohabbat adā hotī hai

    kyā kahūñ hijr meñ hālat mirī kyā hotī hai

    jān-levā shab-e-furqat balā hotī hai

    phir to kuchh aur ho jaatā hai naqsha apnā

    terī tasvīr jab āñkhoñ se judā hotī hai

    nāz-o-andāz hasīnoñ ke liye zevar haiñ

    dil-rubā hotī hai jo un adā hotī hai

    rūh-parvar hai abhī bāda-e-ulfat lekin

    aage chal kar yahī mia-hosh-rubā hotī hai

    aur baḌh jaatī hai āshufta-sarī 'āshiq

    sar se jab tā-ba-kamar zulf-e-rasā hotī hai

    maut vaqt kisī tarh Tale nā-mumkin

    aahī jaatī hai jab aane ko qazā hotī hai

    kHūgar-e-zulm-o-jafā mujh ko banāyā thā magar

    phir ye aġhyār pe kyuuñ mashq-e-jafā hotī hai

    kushta-e-nāz turbat ye tire parda-nashīñ

    ek halkī mohabbat ridā hotī hai

    gar namāzoñ meñ nahīñ un huzūrī hāsil

    phir to kā'be meñ adā ho to qazā hotī hai

    jis se ho jaatī hai mahshar meñ qiyāmat barpā

    terī pāzeb ghañgru sadā hotī hai

    dil-e-muztar ke taḌapne se shab-e-furqat meñ

    ik qiyāmat mire ghar roz bapā hotī hai

    chal rahī haiñ tire andāz chhuriyāñ dil par

    tujh se saffāk kahīñ terī adā hotī hai

    jab vo aa jaate haiñ sajde ko maiñ jhuk jaatā huuñ

    yuuñ har roz namāz apnī adā hotī hai

    ruḳh-e-pur-nūr tasavvur meñ hai 'mohsin' un

    isī sūrat se mire dil jilā hotī hai

    zulm hota hai jafaon pe jafa hoti hai

    yun ada rasm mohabbat ki ada hoti hai

    kya kahun hijr mein haalat meri kya hoti hai

    jaan-lewa shab-e-furqat ki bala hoti hai

    phir to kuchh aur hi ho jata hai naqsha apna

    teri taswir jab aankhon se juda hoti hai

    naz-o-andaz hasinon ke liye zewar hain

    dil-ruba hoti hai jo un ki ada hoti hai

    ruh-parwar hai abhi baada-e-ulfat lekin

    aage chal kar yahi mia-hosh-ruba hoti hai

    aur baDh jati hai aashufta-sari 'ashiq ki

    sar se jab ta-ba-kamar zulf-e-rasa hoti hai

    maut ka waqt kisi tarh Tale na-mumkin

    aahi jati hai jab aane ko qaza hoti hai

    kHugar-e-zulm-o-jafa mujh ko banaya tha magar

    phir ye aghyar pe kyun mashq-e-jafa hoti hai

    kushta-e-naz ki turbat ye tere parda-nashin

    ek halki si mohabbat ki rida hoti hai

    gar namazon mein nahin un ki huzuri hasil

    phir to ka'be mein ada ho to qaza hoti hai

    jis se ho jati hai mahshar mein qiyamat barpa

    teri pazeb ki ghangru ki sada hoti hai

    dil-e-muztar ke taDapne se shab-e-furqat mein

    ek qiyamat mere ghar roz bapa hoti hai

    chal rahi hain tere andaz ki chhuriyan dil par

    tujh se saffak kahin teri ada hoti hai

    jab wo aa jate hain sajde ko main jhuk jata hun

    yun hi har roz namaz apni ada hoti hai

    ruKH-e-pur-nur tasawwur mein hai 'mohsin' un ka

    isi surat se mere dil ki jila hoti hai

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Mohsin
    • Author : Shah Mohsin Danapuri
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now