Sufinama

is zamane mein hai har shaKHs ko duniya ki talash

Shah Turab Ali Qalandar

is zamane mein hai har shaKHs ko duniya ki talash

Shah Turab Ali Qalandar

MORE BYShah Turab Ali Qalandar

    is zamāne meñ hai har shaḳhs ko duniyā talāsh

    bas ġhanīmat hai jise kuchh bhī ho uqbā talāsh

    māldāroñ ko ziyāda hai tama.a duniyā

    mard-e-muhtāj ko hai roz-e-fardā talāsh

    gazī-o-gāḌhā ġharīboñ ko hai matlūb-e-libās

    nāzuk-andāmoñ ko hai jāma-e-zebā talāsh

    kHilat-e-fākHirā lailā pe sazā-vār rahe

    us ke majnūñ ko to hai dāman-e-sahrā talāsh

    mārtā hai vahī āshiq ko jilātā hai vahī

    yaar ke hote kare kaun masīhā talāsh

    gudḌī-posh us ko na kah hai vo libāsī darvesh

    jo gadā hoke kare atlas-o-duniyā talāsh

    is jahāñ meñ na koī hogā talab se ḳhālī

    kahīñ a.alā talab hai kahīñ adnā talāsh

    zāhid allāh se Dar da'vat-e-asmā na kar

    chāhiye shām-o-sahar tujh ko musammā talāsh

    fil-haqīqat meñ ye sab nafs ke bande haiñ 'turāb'

    banda-e-haq hai vahī jis ko hai maulā talāsh

    is zamane mein hai har shaKHs ko duniya ki talash

    bas ghanimat hai jise kuchh bhi ho uqba ki talash

    maldaron ko ziyaada hai tama duniya ki

    mard-e-muhtaj ko hai roz-e-farda ki talash

    gazi-o-gaDha gharibon ko hai matlub-e-libas

    nazuk-andamon ko hai jama-e-zeba ki talash

    kHilat-e-fakHira laila pe saza-war rahe

    us ke majnun ko to hai daman-e-sahra ki talash

    marta hai wahi aashiq ko jilata hai wahi

    yar ke hote kare kaun masiha ki talash

    gudDi-posh us ko na kah hai wo libasi darwesh

    jo gada hoke kare atlas-o-duniya ki talash

    is jahan mein na koi hoga talab se KHali

    kahin aala ki talab hai kahin adna ki talash

    zahid allah se Dar da'wat-e-asma na kar

    chahiye sham-o-sahar tujh ko musamma ki talash

    fil-haqiqat mein ye sab nafs ke bande hain 'turab'

    banda-e-haq hai wahi jis ko hai maula ki talash

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now