Sufinama

yaro ye sab baat ki ek baat hai asl-ul-usul

Shah Turab Ali Qalandar

yaro ye sab baat ki ek baat hai asl-ul-usul

Shah Turab Ali Qalandar

MORE BYShah Turab Ali Qalandar

    yaaro ye sab baat ik baat hai asl-ul-usūl

    yaad meñ is raho aise ki sab ko jaao bhuul

    nafs-o-shaitāñ itā.at meñ zalālat hai husūl

    taabe amr-e-kHudā ho pasrav-e-hukm-e-rasūl

    jo ḳhudā ke log haiñ un se milo ḳhidmat karo

    is se behtar koī nahīñ bahar-e-ḳhudā rāh-e-vusūl

    bār-e-ḳhātir hoke sohbat meñ kisī ke rahiye mat

    balki yuuñ rahiye ki jaise paanī par utar aa.e phuul

    daf’-e-īzā jis qadar ho aap se karte raho

    duur kar do gar paḌā ho raah meñ kHār-e-babūl

    avval-o-āḳhir 'turāb' us hamārā saath hai

    jo hamārā yaar hai jis ko kiyā ham ne qubūl

    yaro ye sab baat ki ek baat hai asl-ul-usul

    yaad mein is ki raho aise ki sab ko jao bhul

    nafs-o-shaitan ki itaat mein zalalat hai husul

    tabe amr-e-kHuda ho pasraw-e-hukm-e-rasul

    jo KHuda ke log hain un se milo KHidmat karo

    is se behtar koi nahin bahar-e-KHuda rah-e-wusul

    bar-e-KHatir hoke sohbat mein kisi ke rahiye mat

    balki yun rahiye ki jaise pani par utar aae phul

    daf’-e-iza jis qadar ho aap se karte raho

    dur kar do gar paDa ho rah mein kHar-e-babul

    awwal-o-aKHir 'turab' us ka hamara sath hai

    jo hamara yar hai jis ko kiya hum ne qubul

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now