Sufinama

sanson ki mala par simrun nis-din pi ka nam

Tufail Hoshiarpuri

sanson ki mala par simrun nis-din pi ka nam

Tufail Hoshiarpuri

MORE BYTufail Hoshiarpuri

    sāñsoñ maalā par simrūñ nis-din naam

    apne man maiñ jānūñ aur ke man raam

    prem ke rañg meñ aise Duubī ban gayā ek ruup

    shyām maalā japte-japte aap banī maiñ shyām

    añg-añg meñ rachī huī hai yuuñ mohan priit

    ek aañkh vrindāvan merī duujī gokul dhaam

    prem pyāla jab se piyā hai hai ye haal

    añgāroñ par niiñd aa jaaye kāñToñ par ārām

    pītam kuchh dosh nahīñ hai vo to haiñ nirdos

    apne aap se bāteñ kar ke ho ga.ī maiñ badnām

    jaag uThtī hai jab hirday meñ prem sachchī jot

    is nagrī meñ ho jaatā hai pītam vishrām

    ne jab se jaan liyā hai dukh bhī hai un den

    paap samajh rakkhā hai maiñ ne lenā sukh naam

    jīvan siñgār hai pirītam maañg hai sindūr

    pirītam nazroñ se gir kar jiinā hai kis kaam

    darshan jal pyāsī āñkheñ ro ro kar ga.iiñ suukh

    añdhiyāroñ meñ Duub ga.e birhan ke sub.h-o-shām

    sanson ki mala par simrun nis-din pi ka nam

    apne man ki main jaanun aur pi ke man ki ram

    prem ke rang mein aise Dubi ban gaya ek hi rup

    shyam ki mala japte-japte aap bani main shyam

    ang-ang mein rachi hui hai yun mohan ki prit

    ek aankh wrindawan meri duji gokul dham

    prem pyala jab se piya hai ji ka hai ye haal

    angaron par nind aa jaye kanTon par aaram

    pitam ka kuchh dosh nahin hai wo to hain nirdos

    apne aap se baaten kar ke ho gai main badnam

    jag uThti hai jab hirday mein prem ki sachchi jot

    is nagri mein ho jata hai pitam ka wishram

    ji ne jab se jaan liya hai dukh bhi hai un ki den

    pap samajh rakkha hai main ne lena sukh ka nam

    jiwan ka singar hai piritam mang ka hai sindur

    piritam ki nazron se gir kar jina hai kis kaam

    darshan jal ki pyasi aankhen ro ro kar gain sukh

    andhiyaron mein Dub gae birhan ke subh-o-sham

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Nusrat Fateh Ali Khan

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now