Sufinama

yahi ab faisla-e-jang-ju hai

Aughat Shah Warsi

yahi ab faisla-e-jang-ju hai

Aughat Shah Warsi

MORE BYAughat Shah Warsi

    yahī ab faisla-e-jang-jū hai

    terā ḳhanjar hai aur merā gulū hai

    hue haiñ ghar se be-ghar is junūñ meñ

    makīn-e-lā-makāñ justujū hai

    ayaañ har rañg meñ hai terā jalva

    basī har gul meñ jānāñ terī hai

    namāz apnī hai bas terā tasavvur

    tumhāre vāste ronā vuzū hai

    shah-e-'vāris' jalva dekh kar ham

    kahe 'aughat' na kyūñkar hai

    yahi ab faisla-e-jang-ju hai

    tera KHanjar hai aur mera gulu hai

    hue hain ghar se be-ghar is junun mein

    makin-e-la-makan ki justuju hai

    ayan har rang mein hai tera jalwa

    basi har gul mein jaanan teri bu hai

    namaz apni hai bas tera tasawwur

    tumhaare waste rona wuzu hai

    shah-e-'waris' ka jalwa dekh kar hum

    kahe 'aughat' na kyunkar tu hi tu hai

    Source :
    • Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 24)
    • Author : Aughat Shah Warsi
    • Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now