Sufinama

dil ki har dhaDkan payam-e-dost ho jati hai kya

Zaheen Shah Taji

dil ki har dhaDkan payam-e-dost ho jati hai kya

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    dil har dhaḌkan payām-e-dost ho jaatī hai kyā

    guftugū apnī kalām-e-dost ho jaatī hai kyā

    pūchhtā huuñ laġhzish-e-mastāna-e-arbāb-e-ishq

    ā.īna-dār khirām-e-dost ho jaatī hai kyā

    miT ga.ī hastī agar nām-o-nishān dost par

    ḳhud nishān-e-dost nām-e-dost ho jaatī hai kyā

    sūrat-e-hastī fanā ho kar baqā-e-dost meñ

    ma.anī-e-naqsh-e-davām dost ho jaatī hai kyā

    afzal-ul-makHlūq masjūd-e-malā.ik ke liye

    ādamiyat ehtirām dost ho jaatī hai kyā

    har nafas rāh-e-razā-e-dost meñ ho kar fanā

    zindagī qā.im-maqām-e-dost ho jaatī hai kyā

    ishq meñ tan aur man sab ek aate haiñ nazar

    dil duniyā saqf-o-bām-e-dost ho jaatī hai kyā

    ruuh amar-e-rab hai amar-e-rab hai kun kun hai kalām

    rūh-e-insānī kalām-e-dost ho jaatī hai kyā

    dil ki har dhaDkan payam-e-dost ho jati hai kya

    guftugu apni kalam-e-dost ho jati hai kya

    puchhta hun laghzish-e-mastana-e-arbab-e-ishq

    aaina-dar khiram-e-dost ho jati hai kya

    miT gai hasti agar nam-o-nishan dost par

    ḳhud nishan-e-dost nam-e-dost ho jati hai kya

    surat-e-hasti fana ho kar baqa-e-dost mein

    mani-e-naqsh-e-dawam dost ho jati hai kya

    afzal-ul-makHluq masjud-e-malaik ke liye

    aadamiyat ehtiram dost ho jati hai kya

    har nafas rah-e-raza-e-dost mein ho kar fana

    zindagi qaim-maqam-e-dost ho jati hai kya

    ishq mein tan aur man sab ek aate hain nazar

    dil ki duniya saqf-o-baam-e-dost ho jati hai kya

    ruh amar-e-rab hai amar-e-rab hai kun kun hai kalam

    ruh-e-insani kalam-e-dost ho jati hai kya

    Source :
    • Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 35)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now