Sufinama

tu ne diwana banaya to main diwana bana

Zaheen Shah Taji

tu ne diwana banaya to main diwana bana

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    ne dīvāna banāyā to maiñ dīvāna banā

    ab mujhe hosh duniyā meñ tamāsha na banā

    ishq meñ dīda-o-dil shīsha-o-paimāna banā

    jhuum kar baiTh ga.e ham vahīñ mai-ḳhāna banā

    ye tamannā hai ki āzād-e-tamannā rahūñ

    dil-e-māyūs ko mānūs-e-tamannā na banā

    dil-e-betāb ko taskīn tabassum se na de

    chashm-e-majnūñ ke liye mahmil-e-lailā na banā

    zauq-e-barbādī-e-dil ko bhī na kar barbād

    dil ujḌī huī bigḌī huī duniyā na banā

    munkir-e-hosh huuñ meñ mo'taqid-e-hosh na kar

    mast-e-imroz ko mahv-e-ġham-e-fardā na banā

    yūsuf-e-misri tamannā tere jalvoñ ke nisār

    merī bedāriyoñ ko ḳhvāb-e-zulaiḳhā na banā

    nigah-e-nāz se pūchheñge kisī din ye 'zahīn'

    ne kyā kyā na banāyā koī kyā kyā na banā

    tu ne diwana banaya to main diwana bana

    ab mujhe hosh ki duniya mein tamasha na bana

    ishq mein dida-o-dil shisha-o-paimana bana

    jhum kar baiTh gae hum wahin mai-KHana bana

    ye tamanna hai ki aazad-e-tamanna hi rahun

    dil-e-mayus ko manus-e-tamanna na bana

    dil-e-betab ko taskin tabassum se na de

    chashm-e-majnun ke liye mahmil-e-laila na bana

    zauq-e-barbaadi-e-dil ko bhi na kar tu barbaad

    dil ki ujDi hui bigDi hui duniya na bana

    munkir-e-hosh hun mein mo'taqid-e-hosh na kar

    mast-e-imroz ko mahw-e-gham-e-farda na bana

    yusuf-e-misri tamanna tere jalwon ke nisar

    meri bedariyon ko KHwab-e-zulaiKHa na bana

    nigah-e-naz se puchhenge kisi din ye 'zahin'

    tu ne kya kya na banaya koi kya kya na bana

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Fareed Ayaz

    Fareed Ayaz

    Fareed Ayaz

    Fareed Ayaz

    Nadia Ambar Ludhi

    Nadia Ambar Ludhi

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    Shahid Ahmad

    Shahid Ahmad

    Source :
    • Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 228)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now