Sufinama

Gam-e-dii.n ho na duniyaa ho na kuchh sharm-e-gunaahii ho

Raqim Dehlvi

MORE BYRaqim Dehlvi

    Interesting Fact

    منقبت درشان محبوب الہی خواجہ نظام الدین اؤلیا (دہلی-ہندوستان)

    Gam-e-dii.n ho na duniyaa ho na kuchh sharm-e-gunaahii ho

    agar rahbar nizaamuddiin mahbuub-e-ilaahii ho

    gunah kaise mu.aatib kaun kis kii ruu-siyaahii ho

    jo tum bhii ham-zabaan-e-shaafe-e-isyaa.n-panaahii ho

    nikaltaa hai zabaa.n se aalam-e-be-iKHtiyaarii me.n

    ki tum ko vaqt-e-purshish mansab-e-baKHshish-gunaahii ho

    ummiid-e-dast-giirii ne ba.Dhaayaa aur bhii dil ko

    ki tum pesh-e-nigaah-e-daavar-e-aalam-panaahii ho

    pa.De hai.n is tamannaa me.n na marte hai.n na jiite hai.n

    qayaamat kab ho kab diidaar-e-mahbuub-e-ilaahii ho

    tumhii.n maqbuul-e-yazdaanii tumhii.n mahbuub-e-sub.haanii

    payambar kii nishaanii ho nizaam-e-dii.n-panaahii ho

    tumhii.n maah-e-munavvar ho tumhii.n mahr-e-daraKHshaa.n ho

    hilaal-e-shaam-aaraa ho jamaal-e-sub.h-gaahii ho

    tumhii.n raunaq-faroz-e-masnad-e-aivaan-e-getii the

    tumhii.n jannat-makaanii ho iram-aaraam-gaahii ho

    tumhii.n manzuur aadam ke tumhii.n maqsuud aalam ke

    tumhii.n shaam-e-tamannaa.ii ho sub.h-e-daad-KHvaahii ho

    hame.n tum se ta.alluq hai nabii se vaasta tum ko

    jab aise murshid-o-maulaa ho.n phir kyuu.n ruu-siyaahii ho

    tavaqqo.a hai tavaqqo.a hai gunaaho.n kii mu.aafii kii

    qayaamat me.n idhar tum ho uudhar fazl-e-ilaahii ho

    tumhaare hai.n tumhaare hai.n tumhe.n murshid banaayaa hai

    kashaakash me.n muriido.n par bhii kuchh murshid-nigaahii ho

    KHudaa se puuchh kar tum qaafila-saalaar ban jaanaa

    jahaa.n kaa qaafila suu-e-adam jis vaqt raahii ho

    agar mauqa mile kahnaa KHudaavand-e-do-aalam se

    muriido.n kii hamaare sab se pahle daad-KHvaahii ho

    khule.n jab pesh-e-daavar naama-e-a.amaal bando.n ke

    jahaa.n mohr-e-payambar ho tumhaarii bhii gavaahii ho

    miTe naam-e-payambar par rahe bando.n me.n maulaa ke

    hame.n kyaa Dar hai jab itnaa subuut-e-be-gunaahii ho

    Gulaam-e-mustafaa ham hai.n tumhaare bai.atii ham hai.n

    kifaayat hai yahii hujjat jo dono.n kii gavaahii ho

    na Dar pursish kaa hai us ko na KHauf-e-daaro-giir us ko

    jo thaame haath me.n daamaan-e-mahbuub-e-ilaahii ho

    KHudaayaa ba.ad mahshar ke agar aalam ho phir paidaa

    tamaashaagaah-e-aalam me.n nizaamuddii.n ko shaahii ho

    tavaqqo.a hai ki taab-aaftaab-e-hashr me.n 'raaqim'

    idhar maulaa kaa daaman ho uudhar zill-e-ilaahii ho

    Source :
    • Book : Muraqqa'-e-Na'at (Pg. 21)
    • Author : Raqim Dehlavi
    • Publication : Nizam-ul-Matabe, Hyderabad
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now