Sufinama

razaa-o-sabr ke paikar husain ibn-e-alii

Faraz Warsi

MORE BYFaraz Warsi

    Interesting Fact

    منقبت در شان حضرت امام حسین علیہ السلام (عراق)

    razaa-o-sabr ke paikar husain ibn-e-alii

    tamaam KHalq ke rahbar husain ibn-e-alii

    nabii kii jaan muhibb-e-KHudaa qaraar-e-batuul

    tumhii.n ho diin ke servar husain ibn-e-alii

    lahuu se gulshan-e-islaam sii.nch kar tum ne

    ba.Dhaa.ii shaan-e-paiGambar husain ibn-e-alii

    jhukaayaa sar na kii bai.at-e-yaziid jaa.n de dii

    hai kaun tum saa dilaavar husain ibn-e-alii

    razaa-e-rab me.n luTaayaa ghar kaa ghar tum ne

    hai diin tum se munavvar husain ibn-e-alii

    shahiid tum saa hu.aa hai na hashr tak hogaa

    jahaa.n ko naaz hai tum par husain ibn-e-alii

    dil se aap kaa shaidaa 'faraaz' hai hazrat

    mujhe ho diid mayassar husain ibn-e-alii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now