Sufinama

yuu.n hii rahegii hashr tak azmat husain kii

Faraz Warsi

yuu.n hii rahegii hashr tak azmat husain kii

Faraz Warsi

MORE BYFaraz Warsi

    Interesting Fact

    منقبت درشان حضرت امام حسین (عراق)

    yuu.n hii rahegii hashr tak azmat husain kii

    be-misl-o-be-gumaa.n hai shahaadat husain kii

    raah-e-KHudaa me.n aap ne kumba diyaa tamaam

    dekhe zaraa jahaan saKHaavat husain kii

    ai karbalaa jahaa.n me.n KHudaa kii qasam tirii

    shaukat ye shaan sab hai badaulat husain kii

    bahr-e-furaat apne muqaddar pe kar malaal

    tuu bhii na kar sakii ko.ii mid.hat husain kii

    laashe pe dekhe laashe yake ba.ad diigare

    lillaah ye thaa kaleja ye himmat husain kii

    taa-hashr jis ke dam pe ibaadat karegii naaz

    vallaah vo hai jahaa.n me.n ibaadat husain kii

    ai kaash merii tamannaa dilii 'faraaz'

    ham ko nasiib hotii ziyaarat husain kii

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now