Sufinama

puuchhaa ke ishq kyaa hai ham ne kahaa husain

Khwaja Shayan Hasan

puuchhaa ke ishq kyaa hai ham ne kahaa husain

Khwaja Shayan Hasan

MORE BYKhwaja Shayan Hasan

    Interesting Fact

    منقبت درشان حضرت امام حسین (کربلا۔عراق)

    puuchhaa ke ishq kyaa hai ham ne kahaa husain

    Gam kis ke naam kaa hai ham ne kahaa husain

    tum zikr-e-karbalaa se rote ho kis liye

    dil me.n tumhaare kyaa hai ham ne kahaa husain

    kahne lage vo ham se kyaa ho gayaa hai tum ko

    ra.ng kis kaa cha.Dh gayaa hai ham ne kahaa husain

    dil ke har ik varaq par likkhaa husain dekhaa

    kyaa ruuh kii Gizaa hai ham ne kahaa husain

    jo log jal rahe the zikr-e-husain sun kar

    sar un kaa jhuk gayaa hai ham ne kahaa husain

    raah-e-yaziid par jo chalte hai.n dozaKHii hai.n

    jannat kii raah kyaa hai ham ne kahaa husain

    'shaayaan' ham se puuchho kyaa shaan-e-karbalaa hai

    kyaa shaan-e-karbalaa hai ham ne kahaa husain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now