Sufinama

taarii hai ahl-e-jabr pe haibat husain kii

Pir Naseeruddin Naseer

MORE BYPir Naseeruddin Naseer

    Interesting Fact

    منقبت درشان حضرت امام حسین (کربلا۔عراق)

    taarii hai ahl-e-jabr pe haibat husain kii

    allaah re ye shaan-e-jalaalat husain kii

    kaTvaa ke sar gavaahii-e-tauhiid de ga.e

    be-misl hai jahaa.n me.n shahaadat husain kii

    suu.nghii thii le ke haath me.n dasht-e-balaa kii KHaak

    naanaa ke saamne thii musiibat husain kii

    karte qubuul bai.at-e-faasiq vo kis tarah

    dast-e-mohammadii pe thii bai.at husain kii

    pesh-e-nazar husuul na thaa taKHt-o-taaj kaa

    thii zulm ke KHilaaf baGaavat husain kii

    narmii vahii KHuluus vahii saadgii vahii

    miltii thii mustafaa se tabii.at husain kii

    rakhte hai.n apnii yaad se aabaad meraa dil

    hai mujh pe ye 'nasiir' 'inaayat husain kii

    niklaa vo zul-janaah ’alam ke juluus me.n

    kar lo 'nasiir' ba.Dh ke ziyaarat husain kii

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 319)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now