Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

chalo rii sakhii aaj ma.ngal gaa.e.n

Syed Zeyaul Haque

chalo rii sakhii aaj ma.ngal gaa.e.n

Syed Zeyaul Haque

MORE BYSyed Zeyaul Haque

    chalo rii sakhii aaj ma.ngal gaa.e.n

    apne piyaa kaa janm din manaa.e.n

    diye sone-chaa.ndii ke chau-mukh jalaa.e.n

    siddiiq ke ghar saaj sajaa.e.n

    sitaare bhii aakaash se to.D laa.e.n

    hariyaale band.De kaa manDap sajaa.e.n

    KHushii kaa hai din shaadiyaane bajaa.e.n

    ra.ngiile haTiile ke balihaar jaa.e.n

    sajaa kar unhe.n KHvaaja jii laa rahe hai.n

    ki mor mukuT Gaus-ul-aa’zam lagaa.e.n

    yahaa.n jam' hai.n silsila ke ba.De sab

    'alii aur siddiiq hai.n daa.e.n baa.e.n

    mohammad kii aamad kaa lo shor uThaa

    unhe.n dekh kar apne bhaag jagaa.e.n

    milaate hai.n siddiiq ye kah ke ibnii

    vo dekho nabii de rahe hai.n du'aa.e.n

    suno kHvaaja-e-hind farmaa rahe hai.n

    to dekhegaa chhaT jaa.e.ngii sab ghaTaa.e.n

    rakhe.ngii bhalaa kis kaa iimaan baaqii

    ye chanchal nigaahe.n ye kaafir adaa.e.n

    qiyaamat talak yuu.n hii bastaa rahe tuu

    hamaarii tarah sai.nka.Do.n aa.e.n-jaa.e.n

    bha.Dak kar ye ulfat kii chi.ngaariyaa.n sab

    tuur-e-tajallii me.n ghul-mil jaa.e.n

    KHudaayaa tamannaa ho sayyad kii puurii

    suhaagan mire un kii lekar balaa.e.n

    chalo rii sakhii aaj ma.ngal gaa.e.n

    apne piyaa kaa janm din manaa.e.n

    diye sone-chaa.ndii ke chau-mukh jalaa.e.n

    siddiiq ke ghar saaj sajaa.e.n

    sitaare bhii aakaash se to.D laa.e.n

    hariyaale band.De kaa manDap sajaa.e.n

    KHushii kaa hai din shaadiyaane bajaa.e.n

    ra.ngiile haTiile ke balihaar jaa.e.n

    sajaa kar unhe.n KHvaaja jii laa rahe hai.n

    ki mor mukuT Gaus-ul-aa’zam lagaa.e.n

    yahaa.n jam' hai.n silsila ke ba.De sab

    'alii aur siddiiq hai.n daa.e.n baa.e.n

    mohammad kii aamad kaa lo shor uThaa

    unhe.n dekh kar apne bhaag jagaa.e.n

    milaate hai.n siddiiq ye kah ke ibnii

    vo dekho nabii de rahe hai.n du'aa.e.n

    suno kHvaaja-e-hind farmaa rahe hai.n

    to dekhegaa chhaT jaa.e.ngii sab ghaTaa.e.n

    rakhe.ngii bhalaa kis kaa iimaan baaqii

    ye chanchal nigaahe.n ye kaafir adaa.e.n

    qiyaamat talak yuu.n hii bastaa rahe tuu

    hamaarii tarah sai.nka.Do.n aa.e.n-jaa.e.n

    bha.Dak kar ye ulfat kii chi.ngaariyaa.n sab

    tuur-e-tajallii me.n ghul-mil jaa.e.n

    KHudaayaa tamannaa ho sayyad kii puurii

    suhaagan mire un kii lekar balaa.e.n

    Source :
    • Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 363)
    • Edition : Second
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now