Sufinama

kirshn

Hasrat Mohani

kirshn

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    mathuraa ki nagar hai aashiqii kaa

    dam bhartii hai aarzuu isii kaa

    har zarra-e-sar-zamiin-e-gokul

    daaraa hai jamaal-e-dilbarii kaa

    barsaanaa-o-nand-gaa.nv me.n bhii

    dekh aa.e hai.n jalva ham kisii kaa

    paiGaam-e-hayaat-e-jaavedaa.n thaa

    har naGma kirshn baa.nsurii kaa

    vo nuur-e-syaah yaa ki 'hasrat'

    sar-chashma faroG-e-aagahii kaa

    mathuraa ki nagar hai aashiqii kaa

    dam bhartii hai aarzuu isii kaa

    har zarra-e-sar-zamiin-e-gokul

    daaraa hai jamaal-e-dilbarii kaa

    barsaanaa-o-nand-gaa.nv me.n bhii

    dekh aa.e hai.n jalva ham kisii kaa

    paiGaam-e-hayaat-e-jaavedaa.n thaa

    har naGma kirshn baa.nsurii kaa

    vo nuur-e-syaah yaa ki 'hasrat'

    sar-chashma faroG-e-aagahii kaa

    Source :
    • Book : Hindustan Hamara (Vol-1) (Pg. 383)
    • Author : Jaan Nisar Akhtar
    • Publication : Anjuman Taraqqi Urdu (Hind) (1973)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now