Sufinama

hua phir shia-o-sunni mein jhagDa

Shah Akbar Danapuri

hua phir shia-o-sunni mein jhagDa

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    Interesting Fact

    He wrote this Nazm on Shia-Sunni riots in Lucknow in the year of 1890

    huā phir shī.a-o-sunnī meñ jhagḌā

    zamīñ se charḳh tak pahuñchā qaziya

    ye donoñ kalma-go haiñ vāh-vāh

    ḳhudā dikhlā.e in ko diiñ raah

    huā dañgā ye shahar lucknow meñ

    na aa.e farq kyuuñ kar aabrū meñ

    musalmāñ donoñ phir bāham nifāq aah

    kidhar DhūñDheñ tujhe ai ittifāq aah

    hamārī ḳhūbī-e-taqdīr dekho

    chalī aapas meñ shamshīr dekho

    jo mil-jul kar ye donoñ bhaa.ī rahte

    na ham is tarah īzā.eñ dete

    hamārā un qibla ek diiñ ek

    makāñ donoñ vāhid hai makīñ ek

    ḳhudā hai ek donoñ rasūl ek

    to hai be-shubah phir asal-al-usūl ek

    hamārī aur un hai kitāb ek

    savāl qabr vāhid hai javāb ek

    phir us par kis qayāmat hai kiina

    bane haiñ donoñ sañg-o-ābgīna

    hamīñ laḌ-bhiḌ ke jab ho jā.eñge chuur

    to dushman hogā ham par kyuuñ na mansūr

    ḳhudāyā donoñ ke dil saaf kar de

    adāvat jagah ulfat ko bhar de

    hamārī un hālat ek ho jaa.e

    hamārī un niyyat ek ho jaa.e

    kaheñ āmīn dil se donoñ bhaa.ī

    bahamdillāh ki hotī hai safā.ī

    hua phir shia-o-sunni mein jhagDa

    zamin se charKH tak pahuncha qaziya

    ye donon kalma-go hain wah-wah

    KHuda dikhlae in ko din ki rah

    hua danga ye shahar lucknow mein

    na aae farq kyun kar aabru mein

    musalman donon phir baham nifaq aah

    kidhar DhunDhen tujhe ai ittifaq aah

    hamari KHubi-e-taqdir dekho

    chali aapas mein hi shamshir dekho

    jo mil-jul kar ye donon bhai rahte

    na hum is tarah ki izaen dete

    hamara un ka qibla ek din ek

    makan donon ka wahid hai makin ek

    KHuda hai ek donon ka rasul ek

    to hai be-shubah phir asal-al-usul ek

    hamari aur un ki hai kitab ek

    sawal qabr wahid hai jawab ek

    phir us par kis qayamat ka hai kina

    bane hain donon sang-o-abgina

    hamin laD-bhiD ke jab ho jaenge chur

    to dushman hoga hum par kyun na mansur

    KHudaya donon ke dil saf kar de

    adawat ki jagah ulfat ko bhar de

    hamari un ki haalat ek ho jae

    hamari un ki niyyat ek ho jae

    kahen aamin dil se donon bhai

    bahamdillah ki hoti hai safai

    Source :
    • Book : Shah Akbar Danapuri Hayat aur Shaeri (Pg. 138 - E137)
    • Author : Talha Rizvi Barq
    • Publication : Label Litho Press, Patna (1985)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now