Sufinama

main kuchh samjhun ya kuchh bhi nahin hushiyar hun ya ghafil main hun

Maikash Akbarabadi

main kuchh samjhun ya kuchh bhi nahin hushiyar hun ya ghafil main hun

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    maiñ kuchh samjhūñ kuchh bhī nahīñ hushiyār huuñ ġhāfil maiñ huuñ

    rahrav maiñ huuñ rahzan maiñ huuñ jaada maiñ huuñ manzil maiñ huuñ

    ye mārka-e-husn-o-ulfat surḳhī hai mire afsāne

    majnūñ maiñ huuñ sahrā maiñ huuñ lailā maiñ huuñ mahmil maiñ huuñ

    hote haiñ atā nisbat se mirī har shai ko yahāñ alqāb-e-vajūd

    dariyā maiñ huuñ kashtī maiñ huuñ tūfāñ maiñ huuñ sāhil maiñ huuñ

    kyā jaane kyā samjhe rañg-e-majlis dāb-e-mahfil

    zebā.ish-e-yak-mahfil hai āvāra-e-sad-mahfil maiñ huuñ

    ye dard saarī shakleñ haiñ ye soz saarī shāneñ haiñ

    kuchh ho ai sham.a-e-mahfil lekin saarī mahfil maiñ huuñ

    maiñ yaad meñ terī rotā huuñ duniyā mire haal pe rotī hai

    be-tāb-kun-e-yak-dil hai be-tāb-kun-e-sad-dil maiñ huuñ

    'maikash' mire dam se baaqī hai duniyā meñ nishāñ māshūqoñ

    ho jaan koī afsāne afsāna-nigār-e-dil maiñ huuñ

    main kuchh samjhun ya kuchh bhi nahin hushiyar hun ya ghafil main hun

    rahraw main hun rahzan main hun jada main hun manzil main hun

    ye marka-e-husn-o-ulfat surKHi hai mere afsane ki

    majnun main hun sahra main hun laila main hun mahmil main hun

    hote hain ata nisbat se meri har shai ko yahan alqab-e-wajud

    dariya main hun kashti main hun tufan main hun sahil main hun

    tu kya jaane tu kya samjhe rang-e-majlis dab-e-mahfil

    zebaish-e-yak-mahfil tu hai aawara-e-sad-mahfil main hun

    ye dard ki sari shaklen hain ye soz ki sari shanen hain

    tu kuchh ho ai shama-e-mahfil lekin sari mahfil main hun

    main yaad mein teri rota hun duniya mere haal pe roti hai

    be-tab-kun-e-yak-dil tu hai be-tab-kun-e-sad-dil main hun

    'maikash' mere dam se baqi hai duniya mein nishan mashuqon ka

    ho jaan koi afsane ki afsana-nigar-e-dil main hun

    Source :
    • Book : Maikada (Pg. 23)
    • Author : Maikash Akbarabadi
    • Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now