Sufinama

hamein kya gham qiyamat mein jo pursish hone wali hai

Dagh Dehlvi

hamein kya gham qiyamat mein jo pursish hone wali hai

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    hameñ kyā ġham qiyāmat meñ jo pursish hone vaalī hai

    ki jab vo fitna-gar aayā to phir maidān ḳhālī hai

    kudūrat dil jo fariyād karne se nikālī hai

    vo kahte haiñ mohabbat par hamārī ḳhaak Daalī hai

    abhī haiñ bholī-bholī bāteñ un ḳhurd-sālī hai

    magar chitvan ye kahtī hai qiyāmat hone vaalī hai

    hamārī tauba zāhid javānī donoñ bekas haiñ

    na koī us vāris hai na koī us vaalī hai

    ilāhī kyuuñ ġham-e-furqat falak mujh ko dikhlātā hai

    ki maiñ ne hijr-e-jānāñ meñ qasam khāne khā hai

    duā.eñ de rahā huuñ zer-e-marqad apne qātil ko

    ḳhudā rakhe use jis ne mirī hasrat nikālī hai

    male ne kaf-e-afsos pahroñ marg-e-dushman par

    ye surḳhī us ke hai hāthoñ meñ mehñdī laalī hai

    shabāb aisā jo ho us se bahār-e-gul ko kyā nisbat

    tirī chaḌhtī javānī hai aur us Dhalne vaalī hai

    bayāñ be-vafā.ī jab zamāne to vo bole

    ajī ham kHuub samjhe saaf tum ne ham pe Daalī hai

    dil-e-muztar ko thāme phir rahā huuñ maiñ shab-e-furqat

    na mere paañv ḳhālī haiñ na merā haath ḳhālī hai

    mujhe ghar kaaTe khātā hai to bistar phāḌe khātā hai

    shab-e-furqat meñ kyā sher-e-naistāñ sher-e-qālī hai

    huā hai chaar sajdoñ par ye zāhido tum ko

    ḳhudā ne kyā tumhār haath jannat bech Daalī hai

    uThā liiñ lutf koī din yahāñ phir ham kahāñ phir tum

    burā vaqt aane vaalā hai judā.ī hone vaalī hai

    kahāñ qismat kahāñ himmat kahāñ tāqat ki maiñ pahuñchūñ

    ki manzil ishq kuchh 'arsh-e-a.alā se bhī ’aalī hai

    bharī haiñ hasrateñ hasrateñ us ḳhāna-e-dil meñ

    magar dekho to ye phir ghar ghar ḳhālī ḳhālī hai

    ye chāleñ āsmāñ kuchh samajh meñ nahīñ ātīñ

    kisī sarfarāzī hai kisī pā.emālī hai

    lab-e-mo'jiz-numā se gāliyāñ detī haiñ jo hañs kar

    mirī tasvīr meñ bhī tum ne goyā jaan Daalī hai

    kabhī hai us chaukhaT par kabhī hai us ke qadmoñ par

    azal se merī peshānī baḌī taqdīr vaalī hai

    kyā jaane kahā kyā o sitam-gar raah chaltoñ ne

    ḳhafā kyuuñ ho koī bāzār gaalī bhī gaalī hai

    tirī mahfil meñ tere daaġh ko ham ne nahīñ dekhā

    bharī haiñ ġhair aa-ā kar jagah us ḳhālī hai

    vo likheñge tujhe ḳhat javāb ai 'dāġh' kyā kahnā

    ye ne ḳhvāb dekhā hai ki mazmūn-e-ḳhayālī hai

    hamein kya gham qiyamat mein jo pursish hone wali hai

    ki jab wo fitna-gar aaya to phir maidan KHali hai

    kudurat dil ki jo fariyaad karne se nikali hai

    wo kahte hain mohabbat par hamari KHak Dali hai

    abhi hain bholi-bholi baaten un ki KHurd-sali hai

    magar chitwan ye kahti hai qiyamat hone wali hai

    hamari tauba zahid ki jawani donon bekas hain

    na koi us ka waris hai na koi us ka wali hai

    ilahi kyun gham-e-furqat falak mujh ko dikhlata hai

    ki main ne hijr-e-jaanan mein qasam khane ki kha li hai

    duaen de raha hun zer-e-marqad apne qatil ko

    KHuda rakhe use jis ne meri hasrat nikali hai

    male tu ne kaf-e-afsos pahron marg-e-dushman par

    ye surKHi us ke hai hathon mein ya mehndi ki lali hai

    shabab aisa jo ho us se bahaar-e-gul ko kya nisbat

    teri chaDhti jawani hai aur us ki Dhalne wali hai

    bayan ki be-wafai jab zamane ki to wo bole

    aji hum kHub samjhe saf tum ne hum pe Dali hai

    dil-e-muztar ko thame phir raha hun main shab-e-furqat

    na mere panw KHali hain na mera hath KHali hai

    mujhe ghar kaTe khata hai to bistar phaDe khata hai

    shab-e-furqat mein kya sher-e-naistan sher-e-qali hai

    hua hai chaar sajdon par ye zahido tum ko

    KHuda ne kya tumhaar hath jannat bech Dali hai

    uTha lin lutf koi din yahan phir hum kahan phir tum

    bura waqt aane wala hai judai hone wali hai

    kahan qismat kahan himmat kahan taqat ki main pahunchun

    ki manzil ishq ki kuchh 'arsh-e-ala se bhi ’ali hai

    bhari hain hasraten hi hasraten us KHana-e-dil mein

    magar dekho to ye phir ghar ka ghar KHali ka KHali hai

    ye chaalen aasman ki kuchh samajh mein hi nahin aatin

    kisi ki sarfaraazi hai kisi ki paemali hai

    lab-e-mo'jiz-numa se galiyan deti hain jo hans kar

    meri taswir mein bhi tum ne goya jaan Dali hai

    kabhi hai us ki chaukhaT par kabhi hai us ke qadmon par

    azal se meri peshani baDi taqdir wali hai

    kya jaane kaha kya o sitam-gar rah chalton ne

    KHafa kyun ho koi bazar ki gali bhi gali hai

    teri mahfil mein tere dagh ko hum ne nahin dekha

    bhari hain ghair aa-a kar jagah us ki hi KHali hai

    wo likhenge tujhe KHat ka jawab ai 'dagh' kya kahna

    ye tu ne KHwab dekha hai ki mazmun-e-KHayali hai

    Source :
    • Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 15)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now