haram hai kyā chiz dair kyā hai kisī pe merī nazar nahīñ hai
haram hai kyā chiiz dair kyā hai kisī pe merī nazar nahīñ hai
maiñ tere jalvoñ meñ kho gayā huuñ mujhe ab apnī ḳhabar nahīñ hai
jinheñ hai Dar rāh-e-imtihāñ se unheñ abhī ye ḳhabar nahīñ hai
agar karam un kā rāhbar ho kaThin koī rahguzar nahīñ hai
ba-shauq-e-sajda chale haiñ lekin ajiib maslak hai āshiqoñ kā
vahāñ ibādat harām Thahrī jahāñ tirā sañg-e-dar nahīñ hai
tirī talab terī aarzū meñ nahīñ mujhe hosh zindagī kā
jhukā huuñ yuuñ tere āstāñ par ki mujh ko ehsās-e-sar nahīñ hai
tirī navāzish mirī masarrat mirī tabāhī jalāl terā
kahīñ nahīñ hai mirā Thikāna jo terī sīdhī nazar nahīñ hai
jahāñ bhī hai koī miTne vaalā tirī ināyat ke saa.e meñ hai
banā liyā jis ko tū ne apnā jahāñ meñ vo dar-ba-dar nahīñ hai
har ik jagah tū hī jalva-gar hai vo but-kada ho yā tūr-e-sīnā
nigāh-e-duniyā hai kor bātin tirī tajallī kidhar nahīñ hai
yahīñ pe jiinā yahīñ pe marnā yahīñ hai duniyā yahīñ hai uqbā
'fanā' dar-e-yār ke alāva kahīñ hamārā guzar nahīñ hai
haram hai kyā chiz dair kyā hai kisī pe merī nazar nahīñ hai
maiñ tere jalwoñ meñ kho gayā huñ mujhe ab apnī ḳhabar nahīñ hai
jinheñ hai Dar rāh-e-imtihāñ se unheñ abhī ye ḳhabar nahīñ hai
agar karam un kā rāhbar ho kaThin koī rahguzar nahīñ hai
ba-shauq-e-sajda chale haiñ lekin ajib maslak hai āshiqoñ kā
wahāñ ibādat harām Thahrī jahāñ tirā sañg-e-dar nahīñ hai
tirī talab terī aarzū meñ nahīñ mujhe hosh zindagī kā
jhukā huñ yuñ tere āstāñ par ki mujh ko ehsās-e-sar nahīñ hai
tirī nawāzish mirī masarrat mirī tabāhī jalāl terā
kahīñ nahīñ hai mirā Thikāna jo terī sīdhī nazar nahīñ hai
jahāñ bhī hai koī miTne walā tirī ināyat ke sae meñ hai
banā liyā jis ko tū ne apnā jahāñ meñ wo dar-ba-dar nahīñ hai
har ek jagah tū hī jalwa-gar hai wo but-kada ho yā tūr-e-sīnā
nigāh-e-duniyā hai kor bātin tirī tajallī kidhar nahīñ hai
yahīñ pe jinā yahīñ pe marnā yahīñ hai duniyā yahīñ hai uqbā
'fanā' dar-e-yār ke alāwa kahīñ hamārā guzar nahīñ hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.