jab mera zauq-e-nazar husn-azma ho jaega
jab mirā zauq-e-nazar husn-āzmā ho jā.egā
lākhoñ pardoñ se bhī vo jalva-numā ho jā.egā
ye nikamma-pan jumūd-e-dil kā ik anjām hai
dil se koī kaam le dil kaam kā ho jā.egā
barahman aur shaiḳh meñ hai muddatoñ se guftugū
tum kahīñ jalva dikhā do faisla ho jā.egā
safha-e-tārīḳh par kaam aa.egā merā lahū
kam se kam rañgīn unvān-e-vafā ho jā.egā
maslahat ye hai ḳhudī kī ġhaflateñ taarī raheñ
jab ḳhudī miT jā.egī banda ḳhudā ho jā.egā
tālib-e-kul ho ke fautul-kul kī mahrūmī na le
ek kā ho jā to phir sab kuchh tirā ho jā.egā
zindagī do din kī hai lambī sahī mī.ād-e-qaid
aaj aayā hai qafas meñ kal rihā ho jā.egā
so ke uThnā bhī hai ai 'sīmāb' duniyā meñ muhāl
mar ke jī uThnā mirā ik mo.ajiza ho jā.egā
jab mera zauq-e-nazar husn-azma ho jaega
lakhon pardon se bhi wo jalwa-numa ho jaega
ye nikamma-pan jumud-e-dil ka ek anjam hai
dil se koi kaam le dil kaam ka ho jaega
barahman aur shaiKH mein hai muddaton se guftugu
tum kahin jalwa dikha do faisla ho jaega
safha-e-tariKH par kaam aaega mera lahu
kam se kam rangin unwan-e-wafa ho jaega
maslahat ye hai KHudi ki ghaflaten tari rahen
jab KHudi miT jaegi banda KHuda ho jaega
talib-e-kul ho ke fautul-kul ki mahrumi na le
ek ka ho ja to phir sab kuchh tera ho jaega
zindagi do din ki hai lambi sahi miad-e-qaid
aaj aaya hai qafas mein kal riha ho jaega
so ke uThna bhi hai ai 'simab' duniya mein muhaal
mar ke ji uThna mera ek moajiza ho jaega
- Book : Kaleem-e-Ajam (Pg. 186)
- Author : Seemab Akbarabadi
- Publication : Rifah-e-Aam Press, Agra (UP (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.