jawani mein ada-e-kam-sini achchhi nahin lagti
javānī meñ adā-e-kam-sinī achchhī nahīñ lagtī
chaman meñ phuul ke aage kalī achchhī nahīñ lagtī
ijāzat ho to ham is sham.a-e-mahfil ko bujhā Dāleñ
tumhāre sāmne ye raushnī achchhī nahīñ lagtī
pareshāñ kis liye haiñ chāñd se ruḳhsār par gesū
haTā liije ki dhundlī chāñdnī achchhī nahīñ lagtī
na aap aa.e na kuchh apnī ḳhabar bhejī shab-e-va.ada
mujhe aisī sharārat aap kī achchhī nahīñ lagtī
mujhe pahchān kar mujh se nigāheñ pherne vaale
sar-e-mahfil ye terī be-ruḳhī achchhī nahīñ lagtī
ḳhulūs-e-dil se jo hotī hai ḳhālī ye haqīqat hai
ḳhudā ko shaiḳh-jī vo bandagī achchhī nahīñ lagtī
ġham-e-jānāñ se dil mānūs jab se ho gayā mujh ko
hañsī achchhī nahīñ lagtī ḳhushī achchhī nahīñ lagtī
galī terī burī lagtī nahīñ thī jān-e-jāñ lekin
nahīñ hai jab se tū terī galī achchhī nahīñ lagtī
ḳhushī se maut aa.e ab mujhe marnā gavārā hai
ga.e vo jab se mujh ko zindagī achchhī nahīñ lagtī
na chheḌo ham-nashīno shām-e-ġham 'purnam' ko rone do
musībat meñ kisī kī dil-lagī achchhī nahīñ lagtī
jawani mein ada-e-kam-sini achchhi nahin lagti
chaman mein phul ke aage kali achchhi nahin lagti
ijazat ho to hum is shama-e-mahfil ko bujha Dalen
tumhaare samne ye raushni achchhi nahin lagti
pareshan kis liye hain chand se ruKHsar par gesu
haTa lije ki dhundli chandni achchhi nahin lagti
na aap aae na kuchh apni KHabar bheji shab-e-wada
mujhe aisi shararat aap ki achchhi nahin lagti
mujhe pahchan kar mujh se nigahen pherne wale
sar-e-mahfil ye teri be-ruKHi achchhi nahin lagti
KHulus-e-dil se jo hoti hai KHali ye haqiqat hai
KHuda ko shaiKH-ji wo bandagi achchhi nahin lagti
gham-e-jaanan se dil manus jab se ho gaya mujh ko
hansi achchhi nahin lagti KHushi achchhi nahin lagti
gali teri buri lagti nahin thi jaan-e-jaan lekin
nahin hai jab se tu teri gali achchhi nahin lagti
KHushi se maut aae ab mujhe marna gawara hai
gae wo jab se mujh ko zindagi achchhi nahin lagti
na chheDo ham-nashino sham-e-gham 'purnam' ko rone do
musibat mein kisi ki dil-lagi achchhi nahin lagti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.