sab se pahle ek wada kijiye
sab se pahle ek va.ada kījiye
dil ke taḌpāne se tauba kījiye
zindagī pur-kaif bantī hai yuuñ hiiñ
kījiye ḳhūn-e-tamannā kījiye
uñgliyāñ uThne lagī haiñ bazm meñ
yuuñ mirī jānib na dekhā kījiye
kis qadar braham hue 'ḳhusrau' se aap
baat dīvāne kī samjhā kījiye
sab se pahle ek wada kijiye
dil ke taDpane se tauba kijiye
zindagi pur-kaif banti hai yun hin
kijiye KHun-e-tamanna kijiye
ungliyan uThne lagi hain bazm mein
yun meri jaanib na dekha kijiye
kis qadar braham hue 'KHusrau' se aap
baat diwane ki samjha kijiye
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.III
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.