meri fitrat wafa hai de raha hun imtihan phir bhi
meri fitrat wafa hai de raha hun imtihan phir bhi
Seemab Akbarabadi
MORE BYSeemab Akbarabadi
mirī fitrat vafā hai de rahā huuñ imtihāñ phir bhī
vo fitrat-āshnā hai aur mujh se bad-gumāñ phir bhī
chhupātā huuñ magar chhuptā nahīñ dard-e-nihāñ phir bhī
nigāh-e-yās ho jaatī hai dil kī tarjumāñ phir bhī
ġham-e-vāmāndagī se be-niyāz-e-hosh baiThā huuñ
chalī aatī hai āvāz-e-darā-e-kārvāñ phir bhī
vo mere sar ko Thukrāte haiñ sajdoñ se ḳhafā ho kar
jabīñ se merī paivasta hai un kā āstāñ phir bhī
kalīsā aur ka.aba naam ko do jalva-gāheñ haiñ
magar yak-rañg hai zauq-e-jabīn-o-āstāñ phir bhī
vafā ik lazzat-e-pur-kaif hai ik āyat-e-taskīñ
vafā kā naam lene se laraztī hai zabāñ phir bhī
hijāb-andar-hijāb amvāj-e-tūfān-e-tajallī haiñ
faroġh-e-sham.a se parvāna hai ātish-ba-jāñ phir bhī
ishāroñ se nigāhoñ se bahut kuchh man.a kartā huuñ
qafas hī par jhukī paḌtī hai shāḳh-e-āshiyāñ phir bhī
bahut dilchasp hai 'sīmāb' shām-e-vādī-e-ġhurbat
vatan kī sub.h meñ kuchh aur thiiñ rañgīniyāñ phir bhī
meri fitrat wafa hai de raha hun imtihan phir bhi
wo fitrat-ashna hai aur mujh se bad-guman phir bhi
chhupata hun magar chhupta nahin dard-e-nihan phir bhi
nigah-e-yas ho jati hai dil ki tarjuman phir bhi
gham-e-wamandagi se be-niyaz-e-hosh baiTha hun
chali aati hai aawaz-e-dara-e-karwan phir bhi
wo mere sar ko Thukraate hain sajdon se KHafa ho kar
jabin se meri paiwasta hai un ka aastan phir bhi
kalisa aur kaba nam ko do jalwa-gahen hain
magar yak-rang hai zauq-e-jabin-o-astan phir bhi
wafa ek lazzat-e-pur-kaif hai ek aayat-e-taskin
wafa ka nam lene se larazti hai zaban phir bhi
hijab-andar-hijab amwaj-e-tufan-e-tajalli hain
farogh-e-shama se parwana hai aatish-ba-jaan phir bhi
ishaaron se nigahon se bahut kuchh mana karta hun
qafas hi par jhuki paDti hai shaKH-e-ashiyan phir bhi
bahut dilchasp hai 'simab' sham-e-wadi-e-ghurbat
watan ki subh mein kuchh aur thin ranginiyan phir bhi
- Book : Kaleem-e-Ajam (Pg. 261)
- Author : Seemab Akbarabadi
- Publication : Rifah-e-Aam Press, Agra (UP (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.