Sufinama

mohabbat hi fana ke baad bhi ba-ru-e-kar aai

Seemab Akbarabadi

mohabbat hi fana ke baad bhi ba-ru-e-kar aai

Seemab Akbarabadi

MORE BYSeemab Akbarabadi

    mohabbat fanā ke ba.ad bhī ba-rū-e-kār aa.ī

    na mujh ko diiñ raas aayā na duniyā sāz-gār aa.ī

    mere nākām hote vafā ba-rū-e-kār aa.ī

    harīm-e-husn se āḳhir naved-e-e'tibār aa.ī

    pareshāñ ho gayā mahshar pareshāñ dekh kar mujh ko

    yahāñ bhī kaam mirī ḳhātir āshufta-kār aa.ī

    vidā.a-e-gardish-e-ayyām thā tark-e-chaman merā

    na phir shām-e-ḳhizāñ aa.ī na phir sub.h-e-bahār aa.ī

    junūñ ne ḳhair-maqdam kar ke rakh sharm-e-rusvā.ī

    abhī jannat se nikle the ki tirī rahguzār aa.ī

    ye hasrat thī ki dāġh-e-dil lau jaldī bhaḌak uThī

    ye qismat thī ki ab ke der meñ fasl-e-bahār aa.ī

    do rose ik shaan se 'sīmāb' masrūf-e-tajallī haiñ

    samajh meñ aaj vaj.h-e-inqalāb-e-rozgār aa.ī

    mohabbat hi fana ke baad bhi ba-ru-e-kar aai

    na mujh ko din ras aaya na duniya saz-gar aai

    mere nakaam hote hi wafa ba-ru-e-kar aai

    harim-e-husn se aaKHir nawed-e-e'tibar aai

    pareshan ho gaya mahshar pareshan dekh kar mujh ko

    yahan bhi kaam meri KHatir aashufta-kar aai

    widaa-e-gardish-e-ayyam tha tark-e-chaman mera

    na phir sham-e-KHizan aai na phir subh-e-bahaar aai

    junun ne KHair-maqdam kar ke rakh li sharm-e-ruswai

    abhi jannat se nikle the ki teri rahguzar aai

    ye hasrat thi ki dagh-e-dil ki lau jaldi bhaDak uThi

    ye qismat thi ki ab ke der mein fasl-e-bahaar aai

    do rose ek shan se 'simab' masruf-e-tajalli hain

    samajh mein aaj wajh-e-inqalab-e-rozgar aai

    Source :
    • Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 115)
    • Publication : Fine Book Printers (1993)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now