Sufinama

uske chehre pe KHuda jaane ye kaisa nur tha

Khwaja Ruknuddin Ishq

uske chehre pe KHuda jaane ye kaisa nur tha

Khwaja Ruknuddin Ishq

MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq

  us ke chehre pe ḳhudā jaane ye kaisā nuur thā

  varna ye dīvāngī kab ishq dastūr thā

  surma-e-vahdat jo khīñchā ishq ne āñkhoñ ke biich

  jaun patthar nazar aayā vo koh-e-tūr thā

  paas aane ko mere ba.ad masāfat kuchh na thī

  ġhaur kar dekhā to maiñ dil se tere duur thā

  lag gayā nāgāh us par ye terā tīr-e-nigāh

  dil shīsha jo baġhal meñ ham ne dekhā chuur thā

  dil ko tere dukh diyā hai 'ishq' kun ne ham se kah

  shoḳh thā be-bāk thā ḳhūñ-ḳhvār thā maġhrūr thā

  us ke chehre pe KHuda jaane ye kaisa nur tha

  warna ye diwangi kab ishq ka dastur tha

  surma-e-wahdat jo khincha ishq ne aankhon ke bich

  jaun sa patthar nazar aaya wo koh-e-tur tha

  pas aane ko mere baad masafat kuchh na thi

  ghaur kar dekha to main hi dil se tere dur tha

  lag gaya nagah us par ye tera tir-e-nigah

  dil ka shisha jo baghal mein hum ne dekha chur tha

  dil ko tere dukh diya hai 'ishq' kun ne hum se kah

  shoKH tha be-bak tha KHun-KHwar tha maghrur tha

  Source :
  • Book : Bihar men Urdu ki Sufiyana Shairi (Pg. 129)
  • Author : Mohammad Tayyab Abdali
  • Publication : Israr Karimi Press Allahabad (1988)
  • Edition : First
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY