Sufinama

aabrū kyā ḳhak us gul kī ki gulshan meñ nahīñ

Mirza Ghalib

aabrū kyā ḳhak us gul kī ki gulshan meñ nahīñ

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    aabrū kyā ḳhaak us gul ki gulshan meñ nahīñ

    hai garebāñ nañg-e-pairāhan jo dāman meñ nahīñ

    zof se ai girya kuchh baaqī mire tan meñ nahīñ

    rañg ho kar uḌ gayā jo ḳhuuñ ki dāman meñ nahīñ

    ho ga.e haiñ jamā ajzā-e-nigāh-e-āftāb

    zarre us ke ghar dīvāroñ ke rauzan meñ nahīñ

    kyā kahūñ tārīki-e-zindān-e-ġham andher hai

    pamba nūr-e-sub.h se kam jis ke rauzan meñ nahīñ

    raunaq-e-hastī hai ishq-e-ḳhāna vīrāñ saaz se

    anjuman be-shamā hai gar barq ḳhirman meñ nahīñ

    zaḳhm silvāne se mujh par chārā-juī hai taan

    ġhair samjhā hai ki lazzat zaḳhm-e-sozan meñ nahīñ

    bas-ki haiñ ham ik bahār-e-nāz ke maare hue

    jalva-e-gul ke sivā gard apne madfan meñ nahīñ

    qatra qatra ik hayūlā hai na.e nāsūr

    ḳhuuñ bhī zauq-e-dard se fāriġh mire tan meñ nahīñ

    le ga.ī saaqī naḳhvat qulzum-āshāmī mirī

    mauj-e-mai aaj rag miinā gardan meñ nahīñ

    ho fishār-e-zof meñ kyā nā-tavānī numūd

    qad ke jhukne bhī gunjā.ish mire tan meñ nahīñ

    thī vatan meñ shaan kyā 'ġhālib' ki ho ġhurbat meñ qadr

    be-takalluf huuñ vo musht-e-ḳhas ki gulḳhan meñ nahīñ

    aabrū kyā ḳhak us gul ki gulshan meñ nahīñ

    hai garebāñ nañg-e-pairāhan jo dāman meñ nahīñ

    zof se ai girya kuchh baqī mere tan meñ nahīñ

    rañg ho kar uḌ gayā jo ḳhuñ ki dāman meñ nahīñ

    ho gae haiñ jamā ajzā-e-nigāh-e-āftāb

    zarre us ke ghar dīwāroñ ke rauzan meñ nahīñ

    kyā kahūñ tārīki-e-zindān-e-ġham andher hai

    pamba nūr-e-subh se kam jis ke rauzan meñ nahīñ

    raunaq-e-hastī hai ishq-e-ḳhāna wīrāñ saz se

    anjuman be-shamā hai gar barq ḳhirman meñ nahīñ

    zaḳhm silwāne se mujh par chārā-juī hai tan

    ġhair samjhā hai ki lazzat zaḳhm-e-sozan meñ nahīñ

    bas-ki haiñ hum ek bahār-e-nāz ke mare hue

    jalwa-e-gul ke siwā gard apne madfan meñ nahīñ

    qatra qatra ek hayūlā hai nae nāsūr

    ḳhuñ bhī zauq-e-dard se fāriġh mere tan meñ nahīñ

    le gaī saqī naḳhwat qulzum-āshāmī mirī

    mauj-e-mai aaj rag minā gardan meñ nahīñ

    ho fishār-e-zof meñ kyā nā-tawānī numūd

    qad ke jhukne bhī gunjāish mere tan meñ nahīñ

    thī watan meñ shan kyā 'ġhālib' ki ho ġhurbat meñ qadr

    be-takalluf huñ wo musht-e-ḳhas ki gulḳhan meñ nahīñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now