Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aah ko chāhiye ek umr asar hote tak

Mirza Ghalib

aah ko chāhiye ek umr asar hote tak

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    aah ko chāhiye ik umr asar hote tak

    kaun jiitā hai tirī zulf ke sar hote tak

    dām-e-har-mauj meñ hai halqa-e-sad-kām-e-nahañg

    dekheñ kyā guzre hai qatre pe guhar hote tak

    āshiqī sabr-talab aur tamannā betāb

    dil kyā rañg karūñ ḳhūn-e-jigar hote tak

    tā-qayāmat shab-e-furqat meñ guzar jā.egī umr

    saat din ham pe bhī bhārī haiñ sahar hote tak

    ham ne maanā ki taġhāful na karoge lekin

    ḳhaak ho jā.eñge ham tum ko ḳhabar hote tak

    partav-e-ḳhur se hai shabnam ko fanā ta.alīm

    maiñ bhī huuñ ek ināyat nazar hote tak

    yak nazar besh nahīñ fursat-e-hastī ġhāfil

    garmī-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hote tak

    ġham-e-hastī 'asad' kis se ho juz marg ilaaj

    sham.a har rañg meñ jaltī hai sahar hote tak

    aah ko chāhiye ek umr asar hote tak

    kaun jitā hai tirī zulf ke sar hote tak

    dām-e-har-mauj meñ hai halqa-e-sad-kām-e-nahañg

    dekheñ kyā guzre hai qatre pe guhar hote tak

    āshiqī sabr-talab aur tamannā betāb

    dil kyā rañg karūñ ḳhūn-e-jigar hote tak

    tā-qayāmat shab-e-furqat meñ guzar jāegī umr

    sat din hum pe bhī bhārī haiñ sahar hote tak

    hum ne manā ki taġhāful na karoge lekin

    ḳhak ho jāeñge hum tum ko ḳhabar hote tak

    partaw-e-ḳhur se hai shabnam ko fanā talīm

    maiñ bhī huñ ek ināyat nazar hote tak

    yak nazar besh nahīñ fursat-e-hastī ġhāfil

    garmī-e-bazm hai ek raqs-e-sharar hote tak

    ġham-e-hastī 'asad' kis se ho juz marg ilaj

    shama har rañg meñ jaltī hai sahar hote tak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now