ab kyā batāūñ maiñ tere milne se kyā milā
ab kyā batā.ūñ maiñ tire milne se kyā milā
irfān-e-ġham huā mujhe apnā patā milā
jab duur tak na koī faqīr-āshnā milā
terā niyāz-mand tire dar se jā milā
manzil milī murād milī mudda.ā milā
sab kuchh mujhe milā jo tirā naqsh-e-pā milā
ḳhud-bīn-o-ḳhud-shanās milā ḳhud-numā milā
insāñ ke bhes meñ mujhe aksar ḳhudā milā
sargashta-e-jamāl kī hairāniyāñ na pūchh
har zarre ke hijāb meñ ik aa.ina milā
paayā tujhe hudūd-e-ta.ayyun se māvarā
manzil se kuchh nikal ke tirā rāsta milā
kyuuñ ye ḳhudā ke DhūñDne vaale haiñ nā-murād
guzrā maiñ jab hudūd-e-ḳhudī se ḳhudā milā
ye ek hī to ne.amat-e-insāñ-navāz thī
dil mujh ko mill gayā to ḳhudā.ī ko kyā milā
yā zaḳhm-e-dil ko chhīl ke siine se pheñk de
yā e'tirāf kar ki nishān-e-vafā milā
'sīmāb' ko shagufta na dekhā tamām umr
kam-baḳht jab milā hameñ ġham-āshnā milā
ab kyā batāūñ maiñ tere milne se kyā milā
irfān-e-ġham huā mujhe apnā patā milā
jab dur tak na koī faqīr-āshnā milā
terā niyāz-mand tere dar se jā milā
manzil milī murād milī muddaā milā
sab kuchh mujhe milā jo tirā naqsh-e-pā milā
ḳhud-bīn-o-ḳhud-shanās milā ḳhud-numā milā
insāñ ke bhes meñ mujhe aksar ḳhudā milā
sargashta-e-jamāl kī hairāniyāñ na pūchh
har zarre ke hijāb meñ ek aaina milā
payā tujhe hudūd-e-tayyun se māwarā
manzil se kuchh nikal ke tirā rāsta milā
kyuñ ye ḳhudā ke DhūñDne wale haiñ nā-murād
guzrā maiñ jab hudūd-e-ḳhudī se ḳhudā milā
ye ek hī to neamat-e-insāñ-nawāz thī
dil mujh ko mill gayā to ḳhudāī ko kyā milā
yā zaḳhm-e-dil ko chhīl ke sine se pheñk de
yā e'tirāf kar ki nishān-e-wafā milā
'sīmāb' ko shagufta na dekhā tamām umr
kam-baḳht jab milā hameñ ġham-āshnā milā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.