lutf un ka aam ho hi jaega
lutf un kā 'aam ho hī jā.egā
shaad har nākām ho hī jā.egā
jaan de do vā'da-e-dīdār par
naqd apnā daam ho hī jā.egā
shaad hai firdaus yā'nī ek din
qismat-e-kHuddām ho hī jā.egā
be-nishānoñ kā nishāñ miTtā nahīñ
miTte-miTte naam ho hī jā.egā
yād-e-gesū zikr-e-haq hai aah kar
dil meñ paidā laam ho hī jā.egā
ek din āvāz badleñge ye saaz
chahchahā kohrām ho hī jā.egā
sā.ilo dāman saḳhī kā thaam lo
kuchh na kuchh in'ām ho hī jā.egā
yād-e-abrū karke taḌpo bulbulo
TukḌe-TukḌe daam ho hī jā.egā
muflisho un kī galī meñ jā paḌo
bāġh-e-ḳhuld ikrām ho hī jā.egā
gar yuuñ hī rahmat kī tāvīleñ rahīñ
mad.h har ilzām ho hī jā.egā
bāda-ḳhvārī kā samāñ bañdhne to do
shaiḳh durd-āshām ho hī jā.egā
ġham to un ko bhuul kar lipTā hai yuuñ
jaise apnā kaam ho hī jā.egā
miT ki gar yūñhī rahā qarz-e-hayāt
jaan kā nīlām ho hī jā.egā
ab to laa.ī hai shafā'at 'afv par
baḌhte-baḌhte 'aam ho hī jā.egā
ai 'razā' har kaam kā ek vaqt hai
dil ko bhī ārām ho hī jā.egā
lutf un ka 'am ho hi jaega
shad har nakaam ho hi jaega
jaan de do wa'da-e-didar par
naqd apna dam ho hi jaega
shad hai firdaus ya'ni ek din
qismat-e-kHuddam ho hi jaega
be-nishanon ka nishan miTta nahin
miTte-miTte nam ho hi jaega
yaad-e-gesu zikr-e-haq hai aah kar
dil mein paida lam ho hi jaega
ek din aawaz badlenge ye saz
chahchaha kohram ho hi jaega
sailo daman saKHi ka tham lo
kuchh na kuchh in'am ho hi jaega
yaad-e-abru karke taDpo bulbulo
TukDe-TukDe dam ho hi jaega
muflisho un ki gali mein ja paDo
bagh-e-KHuld ikram ho hi jaega
gar yun hi rahmat ki tawilen rahin
madh har ilzam ho hi jaega
baada-KHwari ka saman bandhne to do
shaiKH durd-asham ho hi jaega
gham to un ko bhul kar lipTa hai yun
jaise apna kaam ho hi jaega
miT ki gar yunhi raha qarz-e-hayat
jaan ka nilam ho hi jaega
ab to lai hai shafa'at 'afw par
baDhte-baDhte 'am ho hi jaega
ai 'raza' har kaam ka ek waqt hai
dil ko bhi aaram ho hi jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.