ai jazba-e-dil gar maiñ chāhūñ har chiiz muqābil aa jaa.e
manzil ke liye do gaam chalūñ aur sāmne manzil aa jaa.e
ai dil kī lagī chal yūñhī sahī chaltā to huuñ un kī mahfil meñ
us vaqt mujhe chauñkā denā jab rañg pe mahfil aa jaa.e
ai rahbar-e-kāmil chalne ko tayyār to huuñ par yaad rahe
us vaqt mujhe bhaTkā denā jab sāmne manzil aa jaa.e
haañ yaad mujhe tum kar lenā āvāz mujhe tum de lenā
is rāh-e-mohabbat meñ koī darpesh jo mushkil aa jaa.e
ab kyuuñ DhūñDūñ vo chashm-e-karam hone de sitam bālā-e-sitam
maiñ chāhtā huuñ ai jazba-e-ġham mushkil pas-e-mushkil aa jaa.e
is jazba-e-dil ke baare meñ ik mashvara tum se letā huuñ
us vaqt mujhe kyā lāzim hai jab tujh pe mirā dil aa jaa.e
ai barq-e-tajallī kauñdh zarā kyā mujh ko bhī muusā samjhā hai
maiñ tuur nahīñ jo jal jā.ūñ jo chāhe muqābil aa jaa.e
kashtī ko ḳhudā par chhoḌ bhī de kashtī kā ḳhudā ḳhud hāfiz hai
mushkil to nahīñ in maujoñ meñ bahtā huā sāhil aa jaa.e
ai jazba-e-dil gar maiñ chāhūñ har chiz muqābil aa jae
manzil ke liye do gam chalūñ aur sāmne manzil aa jae
ai dil kī lagī chal yūñhī sahī chaltā to huñ un kī mahfil meñ
us waqt mujhe chauñkā denā jab rañg pe mahfil aa jae
ai rahbar-e-kāmil chalne ko tayyār to huñ par yaad rahe
us waqt mujhe bhaTkā denā jab sāmne manzil aa jae
hañ yaad mujhe tum kar lenā āwāz mujhe tum de lenā
is rāh-e-mohabbat meñ koī darpesh jo mushkil aa jae
ab kyuñ DhūñDūñ wo chashm-e-karam hone de sitam bālā-e-sitam
maiñ chāhtā huñ ai jazba-e-ġham mushkil pas-e-mushkil aa jae
is jazba-e-dil ke bare meñ ek mashwara tum se letā huñ
us waqt mujhe kyā lāzim hai jab tujh pe mirā dil aa jae
ai barq-e-tajallī kauñdh zarā kyā mujh ko bhī musā samjhā hai
maiñ tur nahīñ jo jal jāūñ jo chāhe muqābil aa jae
kashtī ko ḳhudā par chhoḌ bhī de kashtī kā ḳhudā ḳhud hāfiz hai
mushkil to nahīñ in maujoñ meñ bahtā huā sāhil aa jae
Videos
This video is playing from YouTube
Nayyara Noor
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.