ai sanam tujhko hum bhulā na sake
ai sanam tujh ko ham bhulā na sake
dil se dāġh-e-vafā miTā na sake
allāh allāh us āstāñ kī kashish
sar jhukāyā to sar uThā na sake
miT ga.e shauq-e-dīd meñ lekin
aap jalva hameñ dikhā na sake
terī chāhat meñ dard vo paayā
ham zamāne meñ chain pā na sake
de ke dil tum ko jaan bhī de dī
phir bhī apnā tumheñ banā na sake
jab se nisbat huī tire dar se
ham kisī dar pe sar jhukā na sake
ishq meñ ye ajab tamāsha hai
un ko paayā to ḳhud ko pā na sake
aisī badlī havā zamāne kī
zaḳhm siine ke muskurā na sake
tum 'fanā' kī lahad pe ba.ad-e-fanā
aa ke do phuul bhī chaḌhā na sake
ai sanam tujh ko hum bhulā na sake
dil se dāġh-e-wafā miTā na sake
allāh allāh us āstāñ kī kashish
sar jhukāyā to sar uThā na sake
miT gae shauq-e-dīd meñ lekin
aap jalwa hameñ dikhā na sake
terī chāhat meñ dard wo payā
hum zamāne meñ chain pā na sake
de ke dil tum ko jaan bhī de dī
phir bhī apnā tumheñ banā na sake
jab se nisbat huī tere dar se
hum kisī dar pe sar jhukā na sake
ishq meñ ye ajab tamāsha hai
un ko payā to ḳhud ko pā na sake
aisī badlī hawā zamāne kī
zaḳhm sine ke muskurā na sake
tum 'fanā' kī lahad pe baad-e-fanā
aa ke do phul bhī chaḌhā na sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.