mujhe kal apni baKHshish ka yaqin hai
mujhe kal apnī baḳhshish kā yaqīñ hai
mohabbat un kī dil meñ jā-nashīñ hai
dar-e-ahmad pe ab merī jabīñ hai
mujhe kuchh fikr-e-do-'ālam nahīñ hai
maiñ huuñ aur yād-e-sarkār-e-madīna
ye duniyā dil kī kis darja hasīñ hai
bahāreñ yuuñ to jannat meñ haiñ lākhoñ
fazā-e-dasht-e-taiba par nahīñ hai
maiñ vasf-e-māh-e-taiba kar rahā huuñ
balā se gar koī chīñ-bar-jabīñ hai
'abas jaatā hai tū ġhairoñ kī jānib
ki bāb-e-rahmat-e-rahaimāñ nahīñ hai
gunahgāro na ghabrāo ki apnī
shafā'at ko shafī'-ul-muznabīñ hai
qarīb-e-nafs meñ hamdam na aanā
bache rahnā ye mār-e-āstīñ hai
zarā āhista chal au chalne vaale
ki is jā 'aḳhtar'-e-ḳhasta dafīñ hai
mujhe kal apni baKHshish ka yaqin hai
mohabbat un ki dil mein ja-nashin hai
dar-e-ahmad pe ab meri jabin hai
mujhe kuchh fikr-e-do-'alam nahin hai
main hun aur yaad-e-sarkar-e-madina
ye duniya dil ki kis darja hasin hai
bahaaren yun to jannat mein hain lakhon
faza-e-dasht-e-taiba par nahin hai
main wasf-e-mah-e-taiba kar raha hun
bala se gar koi chin-bar-jabin hai
'abas jata hai tu ghairon ki jaanib
ki bab-e-rahmat-e-rahaiman nahin hai
gunahgaro na ghabrao ki apni
shafa'at ko shafi'-ul-muznabin hai
qarib-e-nafs mein hamdam na aana
bache rahna ye mar-e-astin hai
zara aahista chal au chalne wale
ki is ja 'aKHtar'-e-KHasta dafin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.