kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar aa libas-e-majaz mein
kabhī ai haqīqat-e-muntazir nazar aa libās-e-majāz meñ
ki hazāroñ sajde taḌap rahe haiñ mirī jabīn-e-niyāz meñ
tarab āshnā-e-ḳharosh ho to navā hai mahram-e-gosh ho
vo surūd kyā ki chhupā huā ho sukūt-e-parda-e-sāz meñ
tū bachā-bachā ke na rakh use tirā ā.īna hai vo ā.īna
ki shikasta ho to ’azīz-tar hai nigāh-e-ā.īna-sāz meñ
na kahīñ jahāñ meñ amaañ milī jo amaañ milī to kahāñ milī
mire jurm-e-ḳhāna-ḳharāb ko tire ’afv-e-banda-navāz meñ
na vo 'ishq meñ rahīñ garmiyāñ na vo husn meñ rahīñ shoḳhiyāñ
na vo ġhaznavī meñ taḌap rahī na vo ḳham hai zulf-e-ayāz meñ
jo maiñ sar-ba-sajda huā kabhī to zamīñ se aane lagī sadā
tirā dil to hai sanam-āshnā tujhe kyā milegā namāz meñ
kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar aa libas-e-majaz mein
ki hazaron sajde taDap rahe hain meri jabin-e-niyaz mein
tarab aashna-e-KHarosh ho to nawa hai mahram-e-gosh ho
wo surud kya ki chhupa hua ho sukut-e-parda-e-saz mein
tu bacha-bacha ke na rakh use tera aaina hai wo aaina
ki shikasta ho to ’aziz-tar hai nigah-e-aina-saz mein
na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-KHana-KHarab ko tere ’afw-e-banda-nawaz mein
na wo 'ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shoKHiyan
na wo ghaznawi mein taDap rahi na wo KHam hai zulf-e-ayaz mein
jo main sar-ba-sajda hua kabhi to zamin se aane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashna tujhe kya milega namaz mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.