azm-e-fariyād! unheñ ai dil-e-nāshād nahīñ
azm-e-fariyād! unheñ ai dil-e-nāshād nahīñ
maslak-e-ahl-e-vafā zabt hai fariyād nahīñ
hāsil-e-ishq ba-juz ḳhātir-e-nāshād nahīñ
ye ġhanīmat hai ki mehnat mirī barbād nahīñ
ai mirī qaid tamannā ke baḌhāne vaale
ġhair-mahdūd tire husn kī mī.ād nahīñ
bazm-e-afsāna karo ḳhatm javānī guzrī
qābil-e-zikr ab aage koī rūdād nahīñ
maut hai ruuh kī me.arāj to phir ai sīmāb
ye ulū hai mirī dānist meñ uftād nahīñ
azm-e-fariyād! unheñ ai dil-e-nāshād nahīñ
maslak-e-ahl-e-wafā zabt hai fariyād nahīñ
hāsil-e-ishq ba-juz ḳhātir-e-nāshād nahīñ
ye ġhanīmat hai ki mehnat mirī barbād nahīñ
ai mirī qaid tamannā ke baḌhāne wale
ġhair-mahdūd tere husn kī mīād nahīñ
bazm-e-afsāna karo ḳhatm jawānī guzrī
qābil-e-zikr ab aage koī rūdād nahīñ
maut hai ruh kī mearāj to phir ai sīmāb
ye ulū hai mirī dānist meñ uftād nahīñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.