rūh-e-ravāñ naġhma tum naġhmoñ kā soz saaz meñ
jān-e-kHayāl-o-kHvāb tum jān-e-jahān-e-nāz meñ
hāmil-e-kaif-o-nāz tum hāmil-e-soz-o-sāz meñ
ek jahān-e-rāz tum ek jahān-e-rāz maiñ
maanā ki tum ho jān-e-ishq maiñ bhī to jān-e-husn huuñ
tum ho jo jaan ġhaznavī ruuh tan ayaaz meñ
manzil-e-husn-o-ishq meñ donoñ kā martaba hai ek
aap sitam-tarāz haiñ aur sitam-navāz maiñ
sañg dar jamāl ho yā ke ho naqsh paa.e dost
sajdoñ se baaz rah sakūñ rah sakūñ vo bhī baaz maiñ
shān-e-karam hī ḳhuub hai shān-e-talab bhī ḳhuub hai
jān-e-gadā bane haiñ aap jān-e-gadā-navāz maiñ
dekhiye merī shaan hai aap kī shaan hai buland
aap bane haiñ rāz-dār aur banā huuñ raaz maiñ
tum se jahān-e-rañg-o-bū mujh se jahān-e-dard-o-ġham
husn-e-karishma-sāz tum ishq-e-karishmā-sāz maiñ
ruh-e-rawan naghma tum naghmon ka soz saz mein
jaan-e-kHayal-o-kHwab tum jaan-e-jahan-e-naz mein
hamil-e-kaif-o-naz tum hamil-e-soz-o-saz mein
ek jahan-e-raaz tum ek jahan-e-raaz main
mana ki tum ho jaan-e-ishq main bhi to jaan-e-husn hun
tum ho jo jaan ghaznawi ruh tan ayaz mein
manzil-e-husn-o-ishq mein donon ka martaba hai ek
aap sitam-taraaz hain aur sitam-nawaz main
sang dar jamal ho ya ke ho naqsh pae dost
sajdon se baz rah sakun rah sakun wo bhi baz main
shan-e-karam hi KHub hai shan-e-talab bhi KHub hai
jaan-e-gada bane hain aap jaan-e-gada-nawaz main
dekhiye meri shan hai aap ki shan hai buland
aap bane hain raaz-dar aur bana hun raaz main
tum se jahan-e-rang-o-bu mujh se jahan-e-dard-o-gham
husn-e-karishma-saz tum ishq-e-karishma-saz main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.