Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

manzil ki justuju thi pe manzil na mil saki

Behzad Lakhnavi

manzil ki justuju thi pe manzil na mil saki

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    manzil justujū thī pe manzil na mil sakī

    ham ko kisī tarah tirī mahfil na mil sakī

    ham ne har ek gaam ko manzil banā liyā

    āsāniyāñ to mil ga.iiñ mushkil na mil sakī

    ġham bhī masarratoñ tarah se hai aarzī

    māyūs ġham ko lazzat kāmil na mil sakī

    dekhīñ hazār chashm-e-tamannā ne mahfileñ

    jis talāsh thī vahī mahfil na mil sakī

    rahrav bhī mere saath gum-gashta ho ga.e

    ik baar mil ke phir kabhī manzil na mil sakī

    jab se huā hai dast-e-talab ġham se be-niyāz

    dast-e-gadā ko lazzat-e-sā.el na mil sakī

    ik baar aake phir kabhī tūfāñ na aa sakā

    kashti-e-dil ko dūrī-e-sāhil na mil sakī

    'bahzād' us ziist koī ziist nahīñ

    jis ko atā-e-murshid-e-kāmil na mil sakī

    manzil ki justuju thi pe manzil na mil saki

    hum ko kisi tarah teri mahfil na mil saki

    hum ne har ek gam ko manzil bana liya

    aasaniyan to mil gain mushkil na mil saki

    gham bhi masarraton ki tarah se hai aarzi

    mayus gham ko lazzat kaamil na mil saki

    dekhin hazar chashm-e-tamanna ne mahfilen

    jis ki talash thi wahi mahfil na mil saki

    rahraw bhi mere sath hi gum-gashta ho gae

    ek bar mil ke phir kabhi manzil na mil saki

    jab se hua hai dast-e-talab gham se be-niyaz

    dast-e-gada ko lazzat-e-sael na mil saki

    ek bar aake phir kabhi tufan na aa saka

    kashti-e-dil ko duri-e-sahil na mil saki

    'bahzad' us ki zist koi zist hi nahin

    jis ko ata-e-murshid-e-kaamil na mil saki

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now