bāteñ na kare kyuuñ dil-e-nāshād tumhārī
har vaqt satātī hai use yaad tumhārī
kuchh muñh se nahīñ kahte haiñ ham ishq ke maare
ḳhāmosh sahā karte haiñ bedād tumhārī
āñkhoñ meñ bhare kis ke haiñ aañsū batāo
faryād hamārī hai ki faryād tumhārī
ham to ye samajhte haiñ ki tum mil bhī ga.e to
bechain hī rakhegī hameñ yaad tumhārī
ro dete ho tum sun ke kisī naam ko aksar
ādāt nahīñ jaatī hai ye 'bahzād' tumhārī
baaten na kare kyun dil-e-nashad tumhaari
har waqt satati hai use yaad tumhaari
kuchh munh se nahin kahte hain hum ishq ke mare
KHamosh saha karte hain bedad tumhaari
aankhon mein bhare kis ke hain aansu batao
faryaad hamari hai ki faryaad tumhaari
hum to ye samajhte hain ki tum mil bhi gae to
bechain hi rakhegi hamein yaad tumhaari
ro dete ho tum sun ke kisi nam ko aksar
aadat nahin jati hai ye 'bahzad' tumhaari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.