har shai ko mire dil se bhulāte hue aate
aanā thā to behosh banāte hue aate
mad.hoshiyoñ ko hosh meñ laate hue aate
aate mirī duniyā ko jagāte hue aate
har zarre ko ik tuur banāte hue aate
ye ho na sakā jalve luTāte hue aate
ashkoñ pe girāte mire tum barq-e-tabassum
paanī meñ zarā aag lagāte hue aate
duniyā ko to ik aan meñ behosh kiyā thā
mujh ko bhī har ik chiiz bhulāte hue aate
kHuddārī-e-ulfat bhī koī chiiz thī 'bahzād'
har gaam pe kyuuñ sar ko jhukāte hue aate
har shai ko mere dil se bhulate hue aate
aana tha to behosh banate hue aate
madhoshiyon ko hosh mein late hue aate
aate meri duniya ko jagate hue aate
har zarre ko ek tur banate hue aate
ye ho na saka jalwe luTate hue aate
ashkon pe giraate mere tum barq-e-tabassum
pani mein zara aag lagate hue aate
duniya ko to ek aan mein behosh kiya tha
mujh ko bhi har ek chiz bhulate hue aate
kHuddari-e-ulfat bhi koi chiz thi 'bahzad'
har gam pe kyun sar ko jhukate hue aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.