tum se nazar ke sāmne aayā na jā sakā
shāyad nazar kā baar uThāyā na jā sakā
ham se tirā tasavvur-e-rañgīñ tirā ḳhayāl
kiiñ lākhoñ koshisheñ pe bhulāyā na jā sakā
bazm tajalliyāt kī vāraftagī na pūchh
ye hosh thā ki hosh meñ aayā na jā sakā
thiiñ jalva-gar jo aap kī us meñ tajalliyyāt
dil ishq kī nazar se girāyā na jā sakā
nākām hoga.ī mirī chashm-e-pur-āb bhī
sho.ala bhaḌak gayā to bujhāyā na jā sakā
un kī atā kī ḳhair ho 'bahzād'-e-mubtalā
vo kī atā ke jis ko bhulāyā na jā sakā
tum se nazar ke samne aaya na ja saka
shayad nazar ka bar uThaya na ja saka
hum se tera tasawwur-e-rangin tera KHayal
kin lakhon koshishen pe bhulaya na ja saka
bazm tajalliyat ki waraftagi na puchh
ye hosh tha ki hosh mein aaya na ja saka
thin jalwa-gar jo aap ki us mein tajalliyyat
dil ishq ki nazar se giraya na ja saka
nakaam hogai meri chashm-e-pur-ab bhi
shoala bhaDak gaya to bujhaya na ja saka
un ki ata ki KHair ho 'bahzad'-e-mubtala
wo ki ata ke jis ko bhulaya na ja saka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.