bārak-allāh aap ne kār-e-numāyāñ kar diyā
ik nazar meñ be-niyāz-e-kufr-o-īmāñ kar diyā
kis ne phir bechain ye sāz-e-rag-e-jāñ kar diyā
ruuh ko muztar kiyā dil ko pareshāñ kar diyā
dekhiye kyā ho mire ashk-e-musalsal baar baar
dil thā ik qatra magar is ġham ne tūfāñ kar diyā
ai jabīn-e-shauq terī quvvatoñ ke maiñ nisār
ek sajde se qiyām-e-bazm-e-imkāñ kar diyā
ai tasavvur kyā sukūn-e-dil thā tujh ko nāgavār
tū ne un ko sāmne lā kar ḳhirāmāñ kar diyā
ek lamhe meñ kiyā tai jāda-e-ishq-o-vafā
mere pā-e-shauq ne manzil ko hairāñ kar diyā
is nigāh naaz ne 'bahzād' jumbish ke saath
zindagī baḳhsh dī jiine kā sāmāñ kar diyā
barak-allah aap ne kar-e-numayan kar diya
ek nazar mein be-niyaz-e-kufr-o-iman kar diya
kis ne phir bechain ye saz-e-rag-e-jaan kar diya
ruh ko muztar kiya dil ko pareshan kar diya
dekhiye kya ho mere ashk-e-musalsal bar bar
dil tha ek qatra magar is gham ne tufan kar diya
ai jabin-e-shauq teri quwwaton ke main nisar
ek sajde se qiyam-e-bazm-e-imkan kar diya
ai tasawwur kya sukun-e-dil tha tujh ko nagawar
tu ne un ko samne la kar KHiraman kar diya
ek lamhe mein kiya tai jada-e-ishq-o-wafa
mere pa-e-shauq ne manzil ko hairan kar diya
is nigah naz ne 'bahzad' jumbish ke sath
zindagi baKHsh di jine ka saman kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.