jahān-e-shauq kī duniyā pareshāñ hai jahāñ maiñ huuñ
har ik jānib mirā jalva numāyāñ hai jahāñ maiñ huuñ
huā to kyā fazā bhī gul-badāmāñ hai jahāñ maiñ huuñ
ḳhudā shāhid hai ik bazm-e-hasīnāñ hai jahāñ maiñ huuñ
jahān-e-husn bhī ulfat-e-badāmāñ hai jahāñ maiñ huuñ
mohabbat kī qasam ’ishq-e-farāvāñ hai jahāñ maiñ huuñ
ta.ajjub to ye hai pahlū ba-pahlū ishq-o-ulfat ke
jamāl-e-nau bhī mastī se ḳhirāmāñ hai jahñ maiñ huuñ
chalo chal kar mire hamrāh dekho vo na.ī duniyā
gulistāñ haañ gulistāñ hī gulistāñ hai jahāñ maiñ huuñ
chalo 'bahzād' kuchh din ko jo lutf-e-zindagī chāho
ki lutf-e-zindagī jiine kā sāmāñ hai jahāñ maiñ huuñ
jahan-e-shauq ki duniya pareshan hai jahan main hun
har ek jaanib mera jalwa numayan hai jahan main hun
hua to kya faza bhi gul-badaman hai jahan main hun
KHuda shahid hai ek bazm-e-hasinan hai jahan main hun
jahan-e-husn bhi ulfat-e-badaman hai jahan main hun
mohabbat ki qasam ’ishq-e-farawan hai jahan main hun
tajjub to ye hai pahlu ba-pahlu ishq-o-ulfat ke
jamal-e-nau bhi masti se KHiraman hai jahn main hun
chalo chal kar mere hamrah dekho wo nai duniya
gulistan han gulistan hi gulistan hai jahan main hun
chalo 'bahzad' kuchh din ko jo lutf-e-zindagi chaho
ki lutf-e-zindagi jine ka saman hai jahan main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.