sukūn dekh liyā iztirāb dekh liyā
ġharaz ki rañg-e-jahān-e-ḳharāb dekh liyā
zamāna tuur kā yaad āgayā zamāne meñ
jidhar bhī tū ne uThā kar naqāb dekh liyā
tirā hijāb bhī hadd-e-nigāh ban na sakā
nazar ne aaj tujhe be-hijāb dekh liyā
har ek zarra meñ tere tajalliyāñ haiñ ayaañ
tirā hijāb bhī jān-e-hijāb dekh liyā
paḌī nigāh tujhī par tamām mahfil meñ
nigāh-e-husn mirā intiḳhāb dekh liyā
bahut latīf haiñ nākāmiyāñ mohabbat kī
tire nisār-e-mohabbat kā ḳhvāb dekh liyā
javāb apnā na paayā kahīñ bhī ai 'bahzād'
jahān-e-husn meñ un kā javāb dekh liyā
sukun dekh liya iztirab dekh liya
gharaz ki rang-e-jahan-e-KHarab dekh liya
zamana tur ka yaad aagaya zamane meñ
jidhar bhi tu ne uTha kar naqab dekh liya
tera hijab bhi hadd-e-nigah ban na saka
nazar ne aaj tujhe be-hijab dekh liya
har ek zarra mein tere tajalliyan hain ayan
tera hijab bhi jaan-e-hijab dekh liya
paDi nigah tujhi par tamam mahfil mein
nigah-e-husn mera intiKHab dekh liya
bahut latif hain nakaamiyan mohabbat ki
tere nisar-e-mohabbat ka KHwab dekh liya
jawab apna na paya kahin bhi ai 'bahzad'
jahan-e-husn mein un ka jawab dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.