aisā na ho ki kam ye mirā iztirāb ho
dil kāmyāb ho na nazar kāmyāb ho
maarā huā jo huuñ maiñ jahān-e-ḳharāb kā
sharminda mujh se kyuuñ na jahān-e-ḳharāb ho
maiñ bhī huuñ sāmne mirā dil bhī hai sāmne
ab dekhnā hai maiñ huuñ ki dil intiḳhāb ho
is samt hai nazar to udhar dil hai dekhiye
dil kāmyāb ho ki nazar kāmyāb ho
mil jaaye zauq-e-ishq ko me.arāj-e-zindagī
un ke huzūr meñ jo nazar kāmyāb ho
duniyā se husn-o-ishq meñ aisā kare ḳhudā
merā javāb ho na tumhārā javāb ho
dekhā hai kāmyāb-e-mohabbat jo ḳhvāb-e-ishq
allāh kāmyāb hī ta.abīr-e-ḳhvāb ho
ik jaan aur sukūn ke dushman hazār meñ
'bahzād'-e-mubtalā ko na kyuuñ iztirāb ho
aisa na ho ki kam ye mera iztirab ho
dil kaamyab ho na nazar kaamyab ho
mara hua jo hun main jahan-e-KHarab ka
sharminda mujh se kyun na jahan-e-KHarab ho
main bhi hun samne mera dil bhi hai samne
ab dekhna hai main hun ki dil intiKHab ho
is samt hai nazar to udhar dil hai dekhiye
dil kaamyab ho ki nazar kaamyab ho
mil jaye zauq-e-ishq ko mearaj-e-zindagi
un ke huzur mein jo nazar kaamyab ho
duniya se husn-o-ishq mein aisa kare KHuda
mera jawab ho na tumhaara jawab ho
dekha hai kaamyab-e-mohabbat jo KHwab-e-ishq
allah kaamyab hi tabir-e-KHwab ho
ek jaan aur sukun ke dushman hazar mein
'bahzad'-e-mubtala ko na kyun iztirab ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.