ḳhudā rā na suniye ki kyā kah rahā huuñ
maiñ hāl-e-dil mubtalā kah rahā huuñ
na hasrat na meñ mudda.ā kah rahā huuñ
use tum samajh lo ki kyā kah rahā huuñ
hai har mauj mujh ko Dubone kī koshāñ
meñ har mauj ko nāḳhudā kah rahā huuñ
ḳhudā jaane ab aur aage kahūñ kyā
abhī tak vafā ko vafā kah rahā huuñ
bhalā aur kyā hogī me.arāj-e-ulfat
tirī har jafā ko vafā kah rahā huuñ
sambhālo sambhālo mirā dīn-o-īmāñ
ki maiñ be-ḳhudī ko ḳhudā kah rahā huuñ
mirā qissa-e-ġham umūmī nahīñ hai
zamāne se bilkul judā kah rahā huuñ
mohabbat meñ Duubā hai har lafz merā
ye tum jānte ho ki kyā kah rahā huuñ
vafā un se 'bahzād' kī to hai lekin
maiñ us ko bhī apnī ḳhatā kah rahā huuñ
KHuda ra na suniye ki kya kah raha hun
main haal-e-dil mubtala kah raha hun
na hasrat na mein muddaa kah raha hun
use tum samajh lo ki kya kah raha hun
hai har mauj mujh ko Dubone ki koshan
mein har mauj ko naKHuda kah raha hun
KHuda jaane ab aur aage kahun kya
abhi tak wafa ko wafa kah raha hun
bhala aur kya hogi mearaj-e-ulfat
teri har jafa ko wafa kah raha hun
sambhaalo sambhaalo mera din-o-iman
ki main be-KHudi ko KHuda kah raha hun
mera qissa-e-gham umumi nahin hai
zamane se bilkul juda kah raha hun
mohabbat mein Duba hai har lafz mera
ye tum jaante ho ki kya kah raha hun
wafa un se 'bahzad' ki to hai lekin
main us ko bhi apni KHata kah raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.